jab se main ramz-e-anal-haq se KHabar-dar hua
jab se maiñ ramz-e-anal-haq se ḳhabar-dār huā
dīn-o-īmāñ se gayā aap se be-zār huā
sirf muusā hī nahīñ diid se haiñ sab mahrūm
aaj tak kis ko khulā aap kā dīdār huā
jis ne sūñghī nahīñ duniyā meñ kabhī bū-e-vujūd
dām-e-ulfat meñ vo phir kis ke giraftār huā
chashm-e-maigūñ ne tirī kar diyā sarshār jise
phir vo be-ḳhud huā aisā ki na hoshiyār huā
laa.eñ īmān kabhī haq pe vo mumkin hī nahīñ
apnī hastī kā 'asad' jin ko na iqrār huā
jab se main ramz-e-anal-haq se KHabar-dar hua
din-o-iman se gaya aap se be-zar hua
sirf musa hi nahin did se hain sab mahrum
aaj tak kis ko khula aap ka didar hua
jis ne sunghi nahin duniya mein kabhi bu-e-wujud
dam-e-ulfat mein wo phir kis ke giraftar hua
chashm-e-maigun ne teri kar diya sarshaar jise
phir wo be-KHud hua aisa ki na hoshiyar hua
laen iman kabhi haq pe wo mumkin hi nahin
apni hasti ka 'asad' jin ko na iqrar hua
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.