hai shewa-e-mashuqan har waqt jafa karna
hai sheva-e-mā'shūqāñ har vaqt jafā karnā
'ushshāq ko hai zebā us par bhī vafā karnā
jām-e-mai motī ko jab pī chuke haiñ vā'iz
phir ham pe kahāñ vājib ye farz adā karnā
us hastī-e-vahmī kā jab bār-e-garāñ sar le
hai shirk tirī ḳhātir phir yād-e-ḳhudā karnā
ḳhud dekhne aayā hai aur ḳhud meñ ḳhud chhupā hai
behtar hai 'asad' ḳhud meñ ḳhud hī kā fanā karnā
hai shewa-e-ma'shuqan har waqt jafa karna
'ushshaq ko hai zeba us par bhi wafa karna
jam-e-mai moti ko jab pi chuke hain wa'iz
phir hum pe kahan wajib ye farz ada karna
us hasti-e-wahmi ka jab bar-e-garan sar le
hai shirk teri KHatir phir yaad-e-KHuda karna
KHud dekhne aaya hai aur KHud mein KHud chhupa hai
behtar hai 'asad' KHud mein KHud hi ka fana karna
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.