kya kahen millat-o-din kufr hai iman apna
kyā kaheñ millat-o-dīñ kufr hai īmāñ apnā
pesh-e-but-e-sajda hai aur dair hai aivāñ apnā
jhukte turbat pe nahīñ jhukte kisī aur se haiñ
mā-sivā us kā kahāñ raaz hai pinhāñ apnā
dekh to chashm-e-basīrat se unheñ ai munkir
un butoñ meñ hī to hai rañg numāyāñ apnā
jhuk ga.e jis se malak shaan hai kis kī aisī
martaba bhuul gayā haif ye insāñ apnā
hosh meñ aa na lagā dair-o-haram ke chakkar
bhuul kar aap ko kyuuñ aap hai jūyāñ apnā
sho'bada-bāzī pe apnī na ho ḳhush pīr-e-falak
ham samajhte haiñ use ḳhvāb-e-pareshāñ apnā
barahman Daal de zunnār gale meñ mere
ho gayā 'abd sanam kho diyā īmāñ apnā
dhajjiyāñ kis kī uḌā.egā batā dast-e-junoñ
chaak ham kar chuke pahle hī garebāñ apnā
kya kahen millat-o-din kufr hai iman apna
pesh-e-but-e-sajda hai aur dair hai aiwan apna
jhukte turbat pe nahin jhukte kisi aur se hain
ma-siwa us ka kahan raaz hai pinhan apna
dekh to chashm-e-basirat se unhen ai munkir
un buton mein hi to hai rang numayan apna
jhuk gae jis se malak shan hai kis ki aisi
martaba bhul gaya haif ye insan apna
hosh mein aa na laga dair-o-haram ke chakkar
bhul kar aap ko kyun aap hai juyan apna
sho'bada-bazi pe apni na ho KHush pir-e-falak
hum samajhte hain use KHwab-e-pareshan apna
barahman Dal de zunnar gale mein mere
ho gaya 'abd sanam kho diya iman apna
dhajjiyan kis ki uDaega bata dast-e-junon
chaak hum kar chuke pahle hi gareban apna
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.