un ka hi tasawwur hai mahfil ho ki tanhai
un kā hī tasavvur hai mahfil ho ki tanhā.ī
samjhe koī dīvāna jaane koī saudā.ī
naġhmoñ kā bharam TuuTā mai-ḳhāne kā dar chhūTā
jab saaz chhiḌā koī āvāz terī aa.ī
tū aa.e tujhe dekhūñ aur jaañ se guzar jā.ūñ
is aas pe zinda hai ab tak terā shaidā.ī
ilzām har ik hañs ke ham ne sahā begāna
hone na dī chāhat kī ham ne kabhī rusvā.ī
pahle se marāsim to baaqī na rahe phir bhī
jab zaḳhm lagā koī kyuuñ yaad terī aa.ī
us shahr kā mai-ḳhāna duniyā se nirālā thā
saaqī bhī thā harjā.ī mai-ḳhāna bhī harjā.ī
un ka hi tasawwur hai mahfil ho ki tanhai
samjhe koi diwana jaane koi saudai
naghmon ka bharam TuTa mai-KHane ka dar chhuTa
jab saz chhiDa koi aawaz teri aai
tu aae tujhe dekhun aur jaan se guzar jaun
is aas pe zinda hai ab tak tera shaidai
ilzam har ek hans ke hum ne saha begana
hone na di chahat ki hum ne kabhi ruswai
pahle se marasim to baqi na rahe phir bhi
jab zaKHm laga koi kyun yaad teri aai
us shahr ka mai-KHana duniya se nirala tha
saqi bhi tha harjai mai-KHana bhi harjai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.