taswir-e-sanam jis dil mein hai us dil ka samajhna mushkil hai
taswir-e-sanam jis dil mein hai us dil ka samajhna mushkil hai
Turfa Qureshi
MORE BYTurfa Qureshi
tasvīr-e-sanam jis dil meñ hai us dil kā samajhnā mushkil hai
tahrīm-e-haram to āsāñ hai tahrīm-e-kalīsā mushkil hai
yuuñ laakh jhaTkāyā sar to kyā yuuñ laakh ka.e sajde to kyā
jo sajda ḳhudā kā manshā hai ai shaiḳh vo sajda mushkil hai
nākāmī-e-ulfat kā qissa ro ro ke yañh karnā hai junūñ
vo kaam hī kyuuñ insān kare jis kaam kā banñā mushkil hai
irfān-e-junūñ to hāsil hai irfān-e-nazar se haiñ aajiz
kis tarah kisī ko ham samjheñ ḳhud apnā samajhnā mushkil hai
thā husn-e-azal parde meñ nihāñ hai husn-e-azal parde meñ nihāñ
is vaqt bhī jalva mushkil thā us vaqt bhī jalva mushkil hai
jab tak na ho saudā ulfat kā jab tak na ho sar meñ josh-e-junūñ
nazroñ se mohabbat meñ hamdam paimāish-e-sehra mushkil hai
taswir-e-sanam jis dil mein hai us dil ka samajhna mushkil hai
tahrim-e-haram to aasan hai tahrim-e-kalisa mushkil hai
yun lakh jhaTkaya sar to kya yun lakh kae sajde to kya
jo sajda KHuda ka mansha hai ai shaiKH wo sajda mushkil hai
nakaami-e-ulfat ka qissa ro ro ke yanh karna hai junun
wo kaam hi kyun insan kare jis kaam ka banna mushkil hai
irfan-e-junun to hasil hai irfan-e-nazar se hain aajiz
kis tarah kisi ko hum samjhen KHud apna samajhna mushkil hai
tha husn-e-azal parde mein nihan hai husn-e-azal parde mein nihan
is waqt bhi jalwa mushkil tha us waqt bhi jalwa mushkil hai
jab tak na ho sauda ulfat ka jab tak na ho sar mein josh-e-junun
nazron se mohabbat mein hamdam paimaish-e-sehra mushkil hai
- Book : Kulliyat-e- Turfa (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.