tere dar ke faqir hain hum log
tere dar ke faqīr haiñ ham log
kyā amīr-o-kabīr haiñ ham log
donoñ aalam kī qaid se āzād
ek tere asiir haiñ ham log
husn-o-ḳhūbī meñ be-misāl haiñ aap
ishq meñ be-nazīr haiñ ham log
dil meñ rakhte haiñ chāñd sī sūrat
kyā hī raushan-zamīr haiñ ham log
sar-barahna 'zahīn'-e-ḳhāk-nashīñ
ahl-e-tāj-o-sarīr haiñ ham log
tere dar ke faqir hain hum log
kya amir-o-kabir hain hum log
donon aalam ki qaid se aazad
ek tere asir hain hum log
husn-o-KHubi mein be-misal hain aap
ishq mein be-nazir hain hum log
dil mein rakhte hain chand si surat
kya hi raushan-zamir hain hum log
sar-barahna 'zahin'-e-KHak-nashin
ahl-e-taj-o-sarir hain hum log
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.