laalī mere laal kī jit dekhūñ ute laal
laalī dekhan maiñ ga.ī maiñ bhī ho ga.ī laal
mohe rañg rañg de lālan sā.iyāñ
rañg aisā chaḌhā de laal
tere 'ishq meñ Dālūñ dhamāl
rañg aisā chaḌhā de laal
o murshid bigḌī banā de
o sā.iyāñ bhaag jagā de
o sā.iyāñ karam kamā de laal
tere 'ishq meñ Dālūñ dhamāl
ai fakHr-e-valī valiyoñ ke valī
tū hai a'alā nazar terā murshid 'alī
paayā rutba hai tū ne kamāl
rañg aisā chaḌhā de laal
tere 'ishq meñ Dālūñ dhamāl
tū hai ’atā-e-pāk shabbīrī
sag hai dar kā rañg faqīrī
tū hai bahr-e-sanā 'āshiq-e-murtazā
merī bigḌī banā ai nām-e-ḳhudā
puurā ho jaa.e merā savāb
rañg aisā chaḌhā de laal
tere 'ishq meñ Dālūñ dhamāl
tū hai dar kī teġh ke jaisā
dekhā qalandar jag ban aisā
tū jalālī bhī hai tū misālī bhī hai
tere palTan kā to tū savālī bhī hai
rañg aisā chaḌhā de laal
tere 'ishq meñ Dālūñ dhamāl
roz-e-azal se roz-e-abad tak
zikr-e-qalandar hogā lahad tak
lagī terī lagan bole merā ye man
tujh se mahke mirī aarzū kā chaman
tere jalvoñ kā rañg-e-jamāl
rañg aisā chaḌhā de laal
tere 'ishq Dālūñ Dālūñ dhamāl
lali mere lal ki jit dekhun ute lal
lali dekhan main gai main bhi ho gai lal
mohe rang rang de lalan saiyan
rang aisa chaDha de lal
tere 'ishq mein Dalun dhamal
rang aisa chaDha de lal
o murshid bigDi bana de
o saiyan bhag jaga de
o saiyan karam kama de lal
tere 'ishq mein Dalun dhamal
ai fakHr-e-wali waliyon ke wali
tu hai a'ala nazar tera murshid 'ali
paya rutba hai tu ne kamal
rang aisa chaDha de lal
tere 'ishq mein Dalun dhamal
tu hai ’ata-e-pak shabbiri
sag hai dar ka rang faqiri
tu hai bahr-e-sana 'ashiq-e-murtaza
meri bigDi bana ai nam-e-KHuda
pura ho jae mera sawab
rang aisa chaDha de lal
tere 'ishq mein Dalun dhamal
tu hai dar ki tegh ke jaisa
dekha qalandar jag ban aisa
tu jalali bhi hai tu misali bhi hai
tere palTan ka to tu sawali bhi hai
rang aisa chaDha de lal
tere 'ishq mein Dalun dhamal
roz-e-azal se roz-e-abad tak
zikr-e-qalandar hoga lahad tak
lagi teri lagan bole mera ye man
tujh se mahke meri aarzu ka chaman
tere jalwon ka rang-e-jamal
rang aisa chaDha de lal
tere 'ishq Dalun Dalun dhamal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.