tere naz mein wo asar kahan jo asar mere niyaz mein
tere naaz meñ vo asar kahāñ jo asar mere niyāz meñ
tere husn meñ vo taḌap kahāñ jo taḌap hai mere gudāz meñ
ye kamāl hai ye tilism mire ishq-e-sho.abada-bāz meñ
na kashish rahī tere husn meñ na asar rahā tire naaz meñ
mujhe aish-o-ġham meñ ġharaz nahīñ agar aarzū hai to hai yahī
ki umañg ban ke chhupā rahe koī dil ke parda-e-rāz meñ
terī barq-e-husn ne kyā kiyā ki miTā dī lazzat-e-zindagī
na rahīñ vo pahlī harārateñ mere dil ke soz-o-gudāz meñ
maiñ jo rehn-e-yād-e-butāñ rahā mujhe zindagī kā mazā milā
ki chhupī haqīqat-e-ishq hai isī kā.enāt-e-majāz meñ
tere naz mein wo asar kahan jo asar mere niyaz mein
tere husn mein wo taDap kahan jo taDap hai mere gudaz mein
ye kamal hai ye tilism mere ishq-e-shoabada-baz mein
na kashish rahi tere husn mein na asar raha tere naz mein
mujhe aish-o-gham mein gharaz nahin agar aarzu hai to hai yahi
ki umang ban ke chhupa rahe koi dil ke parda-e-raaz mein
teri barq-e-husn ne kya kiya ki miTa di lazzat-e-zindagi
na rahin wo pahli hararaten mere dil ke soz-o-gudaz mein
main jo rehn-e-yaad-e-butan raha mujhe zindagi ka maza mila
ki chhupi haqiqat-e-ishq hai isi kaenat-e-majaz mein
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 188)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.