tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
ham bhī mazmūñ kī havā bāñdhte haiñ
aah kā kis ne asar dekhā hai
ham bhī ek apnī havā bāñdhte haiñ
terī fursat ke muqābil ai umr
barq ko pa-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid-e-hastī se rihā.ī ma.alūm
ashk ko be-sar-o-pā bāñdhte haiñ
nashsha-e-rañg se hai vāshud-e-gul
mast kab band-e-qabā bāñdhte haiñ
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ mat pūchh
log naale ko rasā bāñdhte haiñ
ahl-e-tadbīr kī vāmāndgiyāñ
ābloñ par bhī hinā bāñdhte haiñ
saada purkār haiñ ḳhūbāñ 'ġhālib'
ham se paimān-e-vafā bāñdhte haiñ
paañv meñ jab vo hinā bāñdhte haiñ
mere hāthoñ ko judā bāñdhte haiñ
husn-e-afsurda-dil-hā-rañgīñ
shauq ko pā-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid meñ bhī hai asīrī āzād
chashm-e-zanjīr ko vā bāñdhte haiñ
shaiḳh-jī ka.abe kā jaanā ma.alūm
aap masjid meñ gadhā bāñdhte haiñ
kis kā dil zulf se bhāgā ki 'asad'
dast-e-shāna ba-qazā bāñdhte haiñ
tere bīmār pe haiñ fariyādī
vo jo kāġhaz meñ davā bāñdhte haiñ
tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
hum bhī mazmūñ kī hawā bāñdhte haiñ
aah kā kis ne asar dekhā hai
hum bhī ek apnī hawā bāñdhte haiñ
terī fursat ke muqābil ai umr
barq ko pa-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid-e-hastī se rihāī malūm
ashk ko be-sar-o-pā bāñdhte haiñ
nashsha-e-rañg se hai wāshud-e-gul
mast kab band-e-qabā bāñdhte haiñ
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ mat pūchh
log nale ko rasā bāñdhte haiñ
ahl-e-tadbīr kī wāmāndgiyāñ
ābloñ par bhī hinā bāñdhte haiñ
sada purkār haiñ ḳhūbāñ 'ġhālib'
hum se paimān-e-wafā bāñdhte haiñ
pañw meñ jab wo hinā bāñdhte haiñ
mere hāthoñ ko judā bāñdhte haiñ
husn-e-afsurda-dil-hā-rañgīñ
shauq ko pā-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid meñ bhī hai asīrī āzād
chashm-e-zanjīr ko wā bāñdhte haiñ
shaiḳh-jī kabe kā jaanā malūm
aap masjid meñ gadhā bāñdhte haiñ
kis kā dil zulf se bhāgā ki 'asad'
dast-e-shāna ba-qazā bāñdhte haiñ
tere bīmār pe haiñ fariyādī
wo jo kāġhaz meñ dawā bāñdhte haiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.