aap is tarah to hosh uDaya na kijiye
aap is tarah to hosh uḌāyā na kījiye
yuuñ ban sañvar ke sāmne aayā na kījiye
yā sar pe aadmī ko biThāyā na kījiye
yā phir nazar se us ko girāyā na kījiye
yuuñ madh-bharī nigāh uThāyā na kījiye
piinā harām hai to pilāyā na kījiye
kahiye to aap mahv haiñ kis ke ḳhayāl meñ
ham se to dil kī baat chhupāyā na kījiye
teġh-e-sitam se kaam jo lenā thā le chuke
ahl-e-vafā kā yuuñ to safāyā na kījiye
ham aap ke ghar aap kā aa.eñ hazār baar
lekin kisī kī baat meñ aayā na kījiye
uTh jā.eñge ham aap kī mahfil se aap hī
dushman ke rū-ba-rū to biThāyā na kījiye
dil duur hoñ to haath milāne se fā.eda
rasman kisī se haath milāyā na kījiye
mahrūm hoñ latāfat-e-fitrat se jo 'nasīr'
un be-hisoñ ko sher sunāyā na kījiye
aap is tarah to hosh uDaya na kijiye
yun ban sanwar ke samne aaya na kijiye
ya sar pe aadmi ko biThaya na kijiye
ya phir nazar se us ko giraya na kijiye
yun madh-bhari nigah uThaya na kijiye
pina haram hai to pilaya na kijiye
kahiye to aap mahw hain kis ke KHayal mein
hum se to dil ki baat chhupaya na kijiye
tegh-e-sitam se kaam jo lena tha le chuke
ahl-e-wafa ka yun to safaya na kijiye
hum aap ke ghar aap ka aaen hazar bar
lekin kisi ki baat mein aaya na kijiye
uTh jaenge hum aap ki mahfil se aap hi
dushman ke ru-ba-ru to biThaya na kijiye
dil dur hon to hath milane se faeda
rasman kisi se hath milaya na kijiye
mahrum hon latafat-e-fitrat se jo 'nasir'
un be-hison ko sher sunaya na kijiye
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 818)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.