dil-e-ummid toDa hai kisi ne
dil-e-ummīd toḌā hai kisī ne
sahārā de ke chhoḌā hai kisī ne
na manzil hai na manzil kā nishāñ hai
kahāñ pe lā ke chhoḌā hai kisī ne
maiñ in shīsha-garoñ se pūchhtā huuñ
ki TuuTā dil bhī joḌā hai kisī ne
qafas kī tīliyāñ rañgīn kyuuñ haiñ
yahāñ pe sar ko phoḌā hai kisī ne
chaman meñ ba-ḳhudā shabnam nahīñ hai
yahāñ dāman nichoḌā hai kisī ne
hai dīvānoñ ko zanjīroñ se nisbat
ye rishta ḳhuub joḌā hai kisī ne
mohabbat meñ mujhe barbād kar ke
lahū dil kā nichoḌā hai kisī ne
dil-e-ummid toDa hai kisi ne
sahaara de ke chhoDa hai kisi ne
na manzil hai na manzil ka nishan hai
kahan pe la ke chhoDa hai kisi ne
main in shisha-garon se puchhta hun
ki TuTa dil bhi joDa hai kisi ne
qafas ki tiliyan rangin kyun hain
yahan pe sar ko phoDa hai kisi ne
chaman mein ba-KHuda shabnam nahin hai
yahan daman nichoDa hai kisi ne
hai diwanon ko zanjiron se nisbat
ye rishta KHub joDa hai kisi ne
mohabbat mein mujhe barbaad kar ke
lahu dil ka nichoDa hai kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.