Font by Mehr Nastaliq Web

dil jis se zinda hai wo tamanna tumhin to ho

Zafar Ali Khan

dil jis se zinda hai wo tamanna tumhin to ho

Zafar Ali Khan

dil jis se zinda hai vo tamannā tumhīñ to ho

ham jis meñ bas rahe haiñ vo duniyā tumhīñ to ho

phūTā jo sīna-e-shab tār-e-alast se

us nūr-e-avvalīñ ujālā tumhīñ to ho

sab kuchh tumhāre vāste paidā kiyā gayā

sab ġhāytoñ ġhāyat-e-ūlā tumhīñ to ho

us mahfil-e-shuhūd raunaq tumhīñ se hai

us mahmil-e-namūd lailā tumhīñ to ho

jalte haiñ jibra.īl ke par jis maqām par

us haqīqatoñ ke shanāsā tumhīñ to ho

jo mā-sivā had se bhī aage guzar gayā

ai rah navard-e-jāda-e-asrā tumhīñ to ho

piite jis ke zindagī-e-jāvedāñ milī

is jāñ-fizā zulāl ke miinā tumhīñ to ho

uTh-uTh ke le rahā hai jo pahlū meñ chuTkiyāñ

vo dard dil meñ kar ga.e paidā tumhīñ to ho

duniyā meñ rahmat-e-do-jahāñ aur kaun hai

jis nahīñ nazīr vo tanhā tumhīñ to ho

girte huoñ ko thaam liyā jis ke haath ne

ai tāj-dār-e-yasrib-o-bathā tumhīñ to ho

biptā sunā.eñ jaake tumhāre sivā kise

ham be-kasān-e-hind ke maljā tumhīñ to ho

dil jis se zinda hai wo tamanna tumhin to ho

hum jis mein bas rahe hain wo duniya tumhin to ho

phuTa jo sina-e-shab tar-e-alast se

us nur-e-awwalin ka ujala tumhin to ho

sab kuchh tumhaare waste paida kiya gaya

sab ghayton ki ghayat-e-ula tumhin to ho

us mahfil-e-shuhud ki raunaq tumhin se hai

us mahmil-e-namud ki laila tumhin to ho

jalte hain jibrail ke par jis maqam par

us ki haqiqaton ke shanasa tumhin to ho

jo ma-siwa ki had se bhi aage guzar gaya

ai rah naward-e-jada-e-asra tumhin to ho

pite hi jis ke zindagi-e-jawedan mili

is jaan-fiza zulal ke mina tumhin to ho

uTh-uTh ke le raha hai jo pahlu mein chuTkiyan

wo dard dil mein kar gae paida tumhin to ho

duniya mein rahmat-e-do-jahan aur kaun hai

jis ki nahin nazir wo tanha tumhin to ho

girte huon ko tham liya jis ke hath ne

ai taj-dar-e-yasrib-o-batha tumhin to ho

bipta sunaen jake tumhaare siwa kise

hum be-kasan-e-hind ke malja tumhin to ho

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now