humne dar-parda tujhe mah-jabin dekh liya
Interesting Fact
’’بیاضِ قوال، بہارِ قوال‘‘ حصہ دوم کے صفحہ ۲۴؍ پر یہ غزل امیرؔ مینائی سے منسوب ہے۔
ham ne dar-parda tujhe māh-jabīñ dekh liyā
ab na kar parda ki ai parda-nashīñ dekh liyā
tere dīdār kī ham ko thī tamannā so tujhe
log dekheñge vahāñ ham ne yahīñ dekh liyā
ham nazar-bāzoñ se tū chhup na sakā jān-e-jahāñ
tū jahāñ jā ke chhupā ham ne vahīñ dekh liyā
ham ne dekhā tujhe āñkhoñ kī siyāh putlī meñ
saat pardoñ meñ tujhe parda-nashīñ dekh liyā
pūchhe us se koī tauhīd ke mazmūñ 'sāqī'
jis ne ahmad ko ahad ke hī qarīñ dekh liyā
hum ne dar-parda tujhe mah-jabin dekh liya
ab na kar parda ki ai parda-nashin dekh liya
tere didar ki hum ko thi tamanna so tujhe
log dekhenge wahan hum ne yahin dekh liya
hum nazar-bazon se tu chhup na saka jaan-e-jahan
tu jahan ja ke chhupa hum ne wahin dekh liya
hum ne dekha tujhe aankhon ki siyah putli mein
sat pardon mein tujhe parda-nashin dekh liya
puchhe us se koi tauhid ke mazmun 'saqi'
jis ne ahmad ko ahad ke hi qarin dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.