Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hum teri rah mein miT jaenge socha hai yahi

Shah Akbar Danapuri

hum teri rah mein miT jaenge socha hai yahi

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ham tirī raah meñ miT jā.eñge sochā hai yahī

    dard-mandān-e-mohabbat tarīqā hai yahī

    aap hoñ pesh-e-nazar ruuh jo tan se nikle

    ai mirī jaañ mirī āñkhoñ tamannā hai yahī

    ho gayā aam mohabbat merī afsāna

    ab to jis bazm meñ baiThe charchā hai yahī

    kūcha-e-yār meñ kho jaane ko ham aa.e haiñ

    rāsta marhala-e-ishq sīdhā hai yahī

    dil meñ allāh ghar āñkhoñ meñ hazrat jamāl

    merā ka.aba hai yahī merā madīna hai yahī

    bahr-e-zaḳhḳhār-e-mohabbat nahīñ miltī thaah

    jis meñ ham Dūbne vaale haiñ vo dariyā hai yahī

    ġhaur se qatre jānib jo nazar to khulā

    ham use qatra ġhalat samjhe the dariyā hai yahī

    hai tavakkul mujhe allāh par apne 'akbar'

    jis ko kahte haiñ bharosa vo bharosā hai yahī

    hum teri rah mein miT jaenge socha hai yahī

    dard-mandan-e-mohabbat ka tariqa hai yahī

    aap hon pesh-e-nazar ruh jo tan se nikle

    ai meri jaan meri aankhon ki tamannā hai yahī

    ho gaya aam mohabbat ka meri afsana

    ab to jis bazm mein ja baiThe charcha hai yahī

    kucha-e-yar mein kho jaane ko hum aae hain

    rasta marhala-e-ishq ka sidha hai yahī

    dil mein allah ka ghar aankhon mein hazrat ka jamal

    mera kaba hai yahī mera madina hai yahī

    bahr-e-zaKHKHar-e-mohabbat ki nahin milti thah

    jis mein hum Dubne wale hain wo dariya hai yahī

    ghaur se qatre ki jaanib jo nazar ki to khula

    hum use qatra ghalat samjhe the dariya hai yahī

    hai tawakkul mujhe allah par apne 'akbar'

    jis ko kahte hain bharosa wo bharosa hai yahī

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 117)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now