har chehre mein aati hai nazar yar ki surat
har chehre meñ aatī hai nazar yaar kī sūrat
ahbāb kī sūrat ho ki aġhyār kī sūrat
siine meñ agar soz salāmat ho to ḳhud hī
ash.ār meñ Dhal jaatī hai afkār kī sūrat
jis aañkh ne dekhā hai us aañkh ko dekhūñ
hai us ke sivā kyā tire dīdār kī sūrat
pahchān liyā tujh ko tirī shīshagarī se
aatī hai nazar fan se hī fankār kī sūrat
ashkoñ ne bayāñ kar hī diyā rāz-e-tamannā
ham soch rahe the abhī iz.hār kī sūrat
is ḳhaak meñ poshīda haiñ har rañg ke ḳhāke
miTTī se nikalte haiñ jo gulzār kī sūrat
dil haath par rakhā hai koī hai jo ḳharīde
dekhūñ to zarā maiñ bhī ḳharīdār kī sūrat
sūrat merī āñkhoñ meñ samā.egī na koī
nazroñ meñ basī rahtī hai sarkār kī sūrat
'vāsif' ko sardār pukārā hai kisī ne
inkār kī sūrat hai na iqrār kī sūrat
har chehre mein aati hai nazar yar ki surat
ahbab ki surat ho ki aghyar ki surat
sine mein agar soz salamat ho to KHud hi
ashaar mein Dhal jati hai afkar ki surat
jis aankh ne dekha hai us aankh ko dekhun
hai us ke siwa kya tere didar ki surat
pahchan liya tujh ko teri shishagari se
aati hai nazar fan se hi fankar ki surat
ashkon ne bayan kar hi diya raaz-e-tamanna
hum soch rahe the abhi izhaar ki surat
is KHak mein poshida hain har rang ke KHake
miTTi se nikalte hain jo gulzar ki surat
dil hath par rakha hai koi hai jo KHaride
dekhun to zara main bhi KHaridar ki surat
surat meri aankhon mein samaegi na koi
nazron mein basi rahti hai sarkar ki surat
'wasif' ko sardar pukara hai kisi ne
inkar ki surat hai na iqrar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.