Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

Fana Bulandshahri

mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    mere rashk-e-qamar ne pahlī nazar jab nazar se milā.ī mazā aa gayā

    barq gir ga.ī kaam kar ga.ī aag aisī lagā.ī mazā aa gayā

    jaam meñ ghol kar husn mastiyāñ chāñdnī muskurā.ī mazā aa gayā

    chāñd ke saa.e meñ ai mire sāqiyā ne aisī pilā.ī mazā aa gayā

    nashsha shīshe meñ añgḌā.ī lene lagā bazm-e-rindāñ meñ sāġhar khanakne lagā

    mai-kade pe barasne lagīñ mastiyāñ jab ghaTā ghir ke aa.ī mazā aa gayā

    be-hijābāna vo sāmne aa ga.e aur javānī javānī se Takrā ga.ī

    aañkh un laḌī yuuñ mirī aañkh se dekh kar ye laḌā.ī mazā aa gayā

    aañkh meñ thī hayā har mulāqāt par surḳh 'āriz hue vasl baat par

    us ne sharmā ke mere savālāt pe aise gardan jhukā.ī mazā aa gayā

    shaiḳh-sahab īmān bik gayā dekh kar husn-e-saqī pighal gayā

    aaj se pahle ye kitne maġhrūr the luT ga.ī pārsā.ī mazā aa gayā

    ai 'fanā' shukr hai aaj bād-e-fanā us ne rakh mire pyaar ki aabrū

    apne hāthoñ se us ne mirī qabr pe chādar-e-gul chaḌhā.ī mazā aa gayā

    mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

    barq si gir gai kaam hi kar gai aag aisi lagai maza aa gaya

    jam mein ghol kar husn ki mastiyan chandni muskurai maza aa gaya

    chand ke sae mein ai mere saqiya tu ne aisi pilai maza aa gaya

    nashsha shishe mein angDai lene laga bazm-e-rindan mein saghar khanakne laga

    mai-kade pe barasne lagin mastiyan jab ghaTa ghir ke aai maza aa gaya

    be-hijabana wo samne aa gae aur jawani jawani se Takra gai

    aankh un ki laDi yun meri aankh se dekh kar ye laDai maza aa gaya

    aankh mein thi haya har mulaqat par surKH 'ariz hue wasl ki baat par

    us ne sharma ke mere sawalat pe aise gardan jhukai maza aa gaya

    shaiKH-sahab ka iman bik hi gaya dekh kar husn-e-saqi pighal hi gaya

    aaj se pahle ye kitne maghrur the luT gai parsai maza aa gaya

    ai 'fana' shukr hai aaj baad-e-fana us ne rakh li mere pyar ki aabru

    apne hathon se us ne meri qabr pe chadar-e-gul chaDhai maza aa gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Anita Singhvi

    Anita Singhvi

    Rahat Fateh Ali Khan

    Rahat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Junaid Asghar

    Junaid Asghar

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now