Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai

Ameer Bakhsh Sabri

na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai

Ameer Bakhsh Sabri

MORE BYAmeer Bakhsh Sabri

    na hai but-kada talab mujhe na haram ke dar talāsh hai

    jahāñ luT gayā hai sukūn-e-dil usī rahguzar talāsh hai

    mere zauq-e-sajda-e-bandagī ko atā huī hai ye be-ḳhudī

    tere sañg-e-dar pe pahuñche bhī tere sañg-e-dar talāsh hai

    haram meñ jis ko hai DhūñDhtā mujhe but-kada vo mil gayā

    tujhe kyā malāl hai zāhidā ye nazar nazar talāsh hai

    ai tabīb haT parai zarā maiñ marīz-e-ishq huuñ lā-davā

    mujhe jis ne dard atā kiyā usī chāra-gar talāsh hai

    jo ġham-e-hayāt ko luuT le usī rāhzan hai justujū

    jo charāġh-e-manzil-e-ishq ho usī rāhbar talāsh hai

    merī zindagī hai ye zindagī tere ishq na bujhe lagī

    tere DhūñDhne meñ jo gum huī mujhe us nazar talāsh hai

    ye hai vo maqām ki jis jagah ye 'amīr'-e-sābrī kho gayā

    na rahī hai jalvoñ aarzū na jalva-gar talāsh hai

    na hai but-kada ki talab mujhe na haram ke dar ki talash hai

    jahan luT gaya hai sukun-e-dil usi rahguzar ki talash hai

    mere zauq-e-sajda-e-bandagi ko ata hui hai ye be-KHudi

    tere sang-e-dar pe pahunche bhi tere sang-e-dar ki talash hai

    tu haram mein jis ko hai DhunDhta mujhe but-kada wo mil gaya

    tujhe kya malal hai zahida ye nazar nazar ki talash hai

    ai tabib haT ja parai zara main mariz-e-ishq hun la-dawa

    mujhe jis ne dard ata kiya usi chaara-gar ki talash hai

    jo gham-e-hayat ko luT le usi rahzan ki hai justuju

    jo charagh-e-manzil-e-ishq ho usi rahbar ki talash hai

    meri zindagi hai ye zindagi tere ishq ki na bujhe lagi

    tere DhunDhne mein jo gum hui mujhe us nazar ki talash hai

    ye hai wo maqam ki jis jagah ye 'amir'-e-sabri kho gaya

    na rahi hai jalwon ki aarzu na hi jalwa-gar ki talash hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Unknown

    Unknown

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now