har tarannum mein mili hai teri aawaz mujhe
har tarannum meñ milī hai terī āvāz mujhe
ek hī naġhma sunātā hai har ik saaz mujhe
'ishq kā bhī koī anjām huā karatā hai
'ishq meñ yaad hai āġhāz hī āġhāz mujhe
jaise vīrāne meñ Takrā ke palaTtī hai sadā
dil ke har goshe se aa.ī tirī āvāz mujhe
jo kisī ko bhī na chāhe use chāhā 'rā’nā'
'umr-bhar apnī mohabbat pe rahā naaz mujhe
har tarannum mein mili hai teri aawaz mujhe
ek hi naghma sunata hai har ek saz mujhe
'ishq ka bhi koi anjam hua karata hai
'ishq mein yaad hai aaghaz hi aaghaz mujhe
jaise virane mein Takra ke palaTti hai sada
dil ke har goshe se aai teri aawaz mujhe
jo kisi ko bhi na chahe use chaha 'ra’na'
'umr-bhar apni mohabbat pe raha naz mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.