Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mujhko bata ai qaziya kaisa tumhaara kaam hai

Sachal Sarmast

mujhko bata ai qaziya kaisa tumhaara kaam hai

Sachal Sarmast

mujh ko batā ai qāziyā kaisā tumhārā kaam hai

tujh ko kitāboñ ḳhushī mere liye mātām hai

'āshiq jalā de aag meñ saare kitāboñ ke varaq

ik naam merā yaad kar ye dost paiġhām hai

mujh ko to maarā hijr ne kahtā hai aa paḌh kitāb

ghar mire us mahbūb aamad aaj anjām hai

kyuuñ sahv sajda kare vo 'ishq hai jis imaam

dam-bhar bhulāyā dost ko na 'āshiqoñ kaam hai

kyā nek-nāmī hai tirī is 'ishq meñ ai be-bahr

terī jamā'at meñ tirā birahā bahut badnām hai

ākHir ye matlab liyā murshid ne jo ham se kahā

bin 'ishq dilbar ke ‘sachal’ kyā kufr kyā islām hai

mujh ko bata ai qaziya kaisa tumhaara kaam hai

tujh ko kitabon ki KHushi mere liye matam hai

'ashiq jala de aag mein sare kitabon ke waraq

ek nam mera yaad kar ye dost ka paigham hai

mujh ko to mara hijr ne kahta hai tu aa paDh kitab

ghar mere us mahbub ki aamad ka aaj anjam hai

kyun sahw ka sajda kare wo 'ishq hai jis ka imam

dam-bhar bhulaya dost ko na 'ashiqon ka kaam hai

kya nek-nami hai teri is 'ishq mein ai be-bahr

teri jama'at mein tera biraha bahut badnam hai

aakHir ye matlab pa liya murshid ne jo hum se kaha

bin 'ishq dilbar ke ‘sachal’ kya kufr kya islam hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Abida Parveen

Abida Parveen

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now