tu ne diwana banaya to main diwana bana
tū ne dīvāna banāyā to maiñ dīvāna banā
ab mujhe hosh kī duniyā meñ tamāsha na banā
ishq meñ dīda-o-dil shīsha-o-paimāna banā
jhuum kar baiTh ga.e ham vahīñ mai-ḳhāna banā
ye tamannā hai ki āzād-e-tamannā hī rahūñ
dil-e-māyūs ko mānūs-e-tamannā na banā
dil-e-betāb ko taskīn tabassum se na de
chashm-e-majnūñ ke liye mahmil-e-lailā na banā
zauq-e-barbādī-e-dil ko bhī na kar tū barbād
dil kī ujḌī huī bigḌī huī duniyā na banā
munkir-e-hosh huuñ meñ mo'taqid-e-hosh na kar
mast-e-imroz ko mahv-e-ġham-e-fardā na banā
yūsuf-e-misri tamannā tere jalvoñ ke nisār
merī bedāriyoñ ko ḳhvāb-e-zulaiḳhā na banā
nigah-e-nāz se pūchheñge kisī din ye 'zahīn'
tū ne kyā kyā na banāyā koī kyā kyā na banā
tu ne diwana banaya to main diwana bana
ab mujhe hosh ki duniya mein tamasha na bana
ishq mein dida-o-dil shisha-o-paimana bana
jhum kar baiTh gae hum wahin mai-KHana bana
ye tamanna hai ki aazad-e-tamanna hi rahun
dil-e-mayus ko manus-e-tamanna na bana
dil-e-betab ko taskin tabassum se na de
chashm-e-majnun ke liye mahmil-e-laila na bana
zauq-e-barbaadi-e-dil ko bhi na kar tu barbaad
dil ki ujDi hui bigDi hui duniya na bana
munkir-e-hosh hun mein mo'taqid-e-hosh na kar
mast-e-imroz ko mahw-e-gham-e-farda na bana
yusuf-e-misri tamanna tere jalwon ke nisar
meri bedariyon ko KHwab-e-zulaiKHa na bana
nigah-e-naz se puchhenge kisi din ye 'zahin'
tu ne kya kya na banaya koi kya kya na bana
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.