un se ummid-e-iltifat kahan
un se ummīd-e-iltifāt kahāñ
merī taqdīr meñ ye baat kahāñ
kyā ḳhabar be-ḳhudī ke a.alam meñ
luT ga.ī dil kī kā.enāt kahāñ
tū navāze tirā karam varna
maiñ kahāñ aur terī zaat kahāñ
dil ko apnā liyā tire ġham ne
ab ġham-e-dil se ho najāt kahāñ
terī ḳhātir tujhe bhī chhoḌ diyā
jiit kar ham ne khaa.ī maat kahāñ
tum na samjhoge mājrā dil kā
tum kahāñ dil kī vārdāt kahāñ
laakh sūraj tarāshte jaao
ḳhatm hotī hai ġham kī raat kahāñ
un ke aane kā intizār tufail
is qadar fursat-e-hayāt kahāñ
un se ummid-e-iltifat kahan
meri taqdir mein ye baat kahan
kya KHabar be-KHudi ke aalam mein
luT gai dil ki kaenat kahan
tu nawaze tera karam warna
main kahan aur teri zat kahan
dil ko apna liya tere gham ne
ab gham-e-dil se ho najat kahan
teri KHatir tujhe bhi chhoD diya
jit kar hum ne khai mat kahan
tum na samjhoge majra dil ka
tum kahan dil ki wardat kahan
lakh suraj tarashte jao
KHatm hoti hai gham ki raat kahan
un ke aane ka intizar tufail
is qadar fursat-e-hayat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.