tum dil ho tamanna ka tum dil ki tamanna ho
tum dil ho tamannā kā tum dil kī tamannā ho
tum kaif ho duniyā kā tum kaif kī duniyā ho
hastī mirī miTtī ho sūrat tirī jamtī ho
maiñ jaan se jaatā huuñ tū dil meñ samātā ho
hai mere junūñ meñ kuchh jazb-e-nazar lekin
jab tum ho tamāshā.ī phir kyuuñ na tamāshā ho
tum dil kī masarrat ho tum nuur ho āñkhoñ kā
tum zīnat-e-ḳhalvat ho tum anjuman-ārā ho
yaad aa.e to 'maikash' kā kuchh zikr bhī ai hamdam
in mast nigāhoñ se jab kaif barastā ho
tum dil ho tamanna ka tum dil ki tamanna ho
tum kaif ho duniya ka tum kaif ki duniya ho
hasti meri miTti ho surat teri jamti ho
main jaan se jata hun tu dil mein samata ho
hai mere junun mein kuchh jazb-e-nazar lekin
jab tum ho tamashai phir kyun na tamasha ho
tum dil ki masarrat ho tum nur ho aankhon ka
tum zinat-e-KHalwat ho tum anjuman-ara ho
yaad aae to 'maikash' ka kuchh zikr bhi ai hamdam
in mast nigahon se jab kaif barasta ho
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.