tum ek gorakh dhanda ho
kabhī yahāñ tumheñ DhūñDā kabhī vahāñ pahuñchā
tumhārī diid kī ḳhātir kahāñ-kahāñ pahuñchā
ġharīb miT ga.e pāmāl ho ga.e lekin
kisī talak na terā aaj tak nishāñ pahuñchā
ho bhī nahīñ aur har jā ho
tum ik gorakh dhanda ho
har zarre meñ kis shaan se tū jalva-numā hai
hairāñ hai magar 'aql meñ kaisā hai tū kyā hai
tujhe dair-o-haram meñ maiñ ne DhūñDhā tū nahīñ miltā
magar tashrīf farmā tujh ko apne dil meñ dekhā hai
jab ba-juz tere koī dūsrā maujūd nahīñ
phir samajh meñ nahīñ aatā terā parda karnā
tum ik gorakh dhanda ho
koī saf meñ tumhārī kho gayā hai
isī kho.e hue ko kuchh milā hai
na but-ḳhāne na kā'be meñ milā hai
magar TuuTe hue dil meñ milā hai
'adam ban kar kahīñ to chhup gayā hai
kahīñ tū hast ban kar aa gayā hai
nahīñ hai tū to phir inkār kaisā
nafī bhī tere hone kā pata hai
maiñ jis ko kah rahā huuñ apnī hastī
agar vo tū nahīñ to aur kyā hai
nahīñ aayā ḳhayāloñ meñ agar tū
to phir maiñ kaise samjhā tū ḳhudā hai
tum ik gorakh dhanda ho
hairān huuñ
maiñ hairān huuñ is baat pe tum kaun ho kyā ho
haath aao to but haath na aao to ḳhudā ho
asl meñ jo mil gayā lā-ilāha kyuuñ kar huā
jo samajh meñ aa gayā phir vo ḳhudā kyuuñ kar huā
falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñ
Dor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñ
chhupte nahīñ ho sāmne aate nahīñ ho tum
jalva dikhā ke jalva dikhāte nahīñ ho tum
dair-o-haram ke jhagḌe miTāte nahīñ ho tum
jo asl baat hai vo batāte nahīñ ho tum
hairāñ huuñ mere dil meñ samā.e ho kis tarah
hālāñki do-jahāñ meñ samāte nahīñ ho tum
ye mā'bad-o-haram ye kalīsā-o-dair kyuuñ
harjā.ī ho jabhī to batāte nahīñ ho tum
bas tum ik gorakh dhanda ho
nit-na.e naqsh banāte ho miTā dete ho
jaane kis jurm-e-tamannā kī sazā dete ho
kabhī kañkar ko banā dete ho hiire kī kanī
kabhī hīroñ ko bhī miTTī meñ milā dete ho
zindagī kitne hī murdoñ ko 'atā kī jis ne
vo masīhā bhī salīboñ pe sajā dete ho
ḳhvāhish-e-dīd jo kar baiThe sar-e-tūr koī
tuur hī baḌh ke tajallī se jalā dete ho
nār-e-namrūd meñ Dalvāte ho ḳhud apnā ḳhalīl
ḳhud hī phir naar ko gulzār banā dete ho
chāh-e-kan'ān meñ pheñko kabhī māh-e-kan’āñ
nuur yāqūb kī āñkhoñ kā bujhā dete ho
becho yūsuf ko kabhī misr ke bāzāroñ meñ
āḳhir-e-kār shah-e-misr banā dete ho
jazb-o-mastī kī jo manzil pe pahuñchtā hai koī
baiTh kar dil meñ anal-haq kī sadā dete ho
ḳhud hī lagvāte ho phir kufr ke fatve us par
ḳhud hī mansūr ko suulī pe chaḌhā dete ho
apnī hastī bhī vo ik roz gañvā baiThtā hai
apne darshan kī lagan jis ko lagā dete ho
koī rāñjhā jo kabhī khoj meñ nikle terī
tum use jhang ke bele meñ uḌā dete ho
justujū le ke tumhārī jo chale qais koī
is ko majnūñ kisī lailā kā banā dete ho
jot sasi ke agar man meñ tumhārī jaage
tum use tapte hue thal meñ jalā dete ho
sohnī gar tum ko mahivāl tasavvur kar le
is ko biphrī huī lahroñ meñ bahā dete ho
ḳhud jo chāho to sar-e-'arsh bulā kar mahbūb
ek hī raat meñ me'arāj karā dete ho
tum ik gorakh dhanda ho
kabhi yahan tumhein DhunDa kabhi wahan pahuncha
tumhaari did ki KHatir kahan-kahan pahuncha
gharib miT gae pamal ho gae lekin
kisi talak na tera aaj tak nishan pahuncha
ho bhi nahin aur har ja ho
tum ek gorakh dhanda ho
har zarre mein kis shan se tu jalwa-numa hai
hairan hai magar 'aql mein kaisa hai tu kya hai
tujhe dair-o-haram mein main ne DhunDha tu nahin milta
magar tashrif farma tujh ko apne dil mein dekha hai
jab ba-juz tere koi dusra maujud nahin
phir samajh mein nahin aata tera parda karna
tum ek gorakh dhanda ho
koi saf mein tumhaari kho gaya hai
isi khoe hue ko kuchh mila hai
na but-KHane na ka'be mein mila hai
magar TuTe hue dil mein mila hai
'adam ban kar kahin to chhup gaya hai
kahin tu hast ban kar aa gaya hai
nahin hai tu to phir inkar kaisa
nafi bhi tere hone ka pata hai
main jis ko kah raha hun apni hasti
agar wo tu nahin to aur kya hai
nahin aaya KHayalon mein agar tu
to phir main kaise samjha tu KHuda hai
tum ek gorakh dhanda ho
hairan hun
main hairan hun is baat pe tum kaun ho kya ho
hath aao to but hath na aao to KHuda ho
asl mein jo mil gaya la-ilaha kyun kar hua
jo samajh mein aa gaya phir wo KHuda kyun kar hua
falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin
Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin
chhupte nahin ho samne aate nahin ho tum
jalwa dikha ke jalwa dikhate nahin ho tum
dair-o-haram ke jhagDe miTate nahin ho tum
jo asl baat hai wo batate nahin ho tum
hairan hun mere dil mein samae ho kis tarah
haalanki do-jahan mein samate nahin ho tum
ye ma'bad-o-haram ye kalisa-o-dair kyun
harjai ho jabhi to batate nahin ho tum
bas tum ek gorakh dhanda ho
nit-nae naqsh banate ho miTa dete ho
jaane kis jurm-e-tamanna ki saza dete ho
kabhi kankar ko bana dete ho hire ki kani
kabhi hiron ko bhi miTTi mein mila dete ho
zindagi kitne hi murdon ko 'ata ki jis ne
wo masiha bhi salibon pe saja dete ho
KHwahish-e-did jo kar baiThe sar-e-tur koi
tur hi baDh ke tajalli se jala dete ho
nar-e-namrud mein Dalwate ho KHud apna KHalil
KHud hi phir nar ko gulzar bana dete ho
chah-e-kan'an mein phenko kabhi mah-e-kan’an
nur yaqub ki aankhon ka bujha dete ho
becho yusuf ko kabhi misr ke bazaron mein
aaKHir-e-kar shah-e-misr bana dete ho
jazb-o-masti ki jo manzil pe pahunchta hai koi
baiTh kar dil mein anal-haq ki sada dete ho
KHud hi lagwate ho phir kufr ke fatwe us par
KHud hi mansur ko suli pe chaDha dete ho
apni hasti bhi wo ek roz ganwa baiThta hai
apne darshan ki lagan jis ko laga dete ho
koi ranjha jo kabhi khoj mein nikle teri
tum use jhang ke bele mein uDa dete ho
justuju le ke tumhaari jo chale qais koi
is ko majnun kisi laila ka bana dete ho
jot sasi ke agar man mein tumhaari jage
tum use tapte hue thal mein jala dete ho
sohni gar tum ko mahiwal tasawwur kar le
is ko biphri hui lahron mein baha dete ho
KHud jo chaho to sar-e-'arsh bula kar mahbub
ek hi raat mein me'araj kara dete ho
tum ek gorakh dhanda ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.