tum jis ko dekh lo wo na pahlu mein pae dil
tum jis ko dekh lo wo na pahlu mein pae dil
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
tum jis ko dekh lo vo na pahlū meñ paa.e dil
tum sā jo dil-rubā ho to kyuuñ kar bachā.e dil
'majzūb' ab kisī se na yā-rab lagā.e dil
paa.e to terī yaad se bas chain paa.e dil
us shoḳh dilrubā kī DhiTā.ī to dekhiye
apne banā liye haiñ hazāroñ parā.e dil
itnā na hogā koī bhī sabr-āzmā-e-dil
sab se lagā.e tum se na koī lagā.e dil
dam-bhar qarār lene nahīñ detā haaye dil
kaisī ye paḌ ga.ī hai mire sar balā-e-dil
'majzūb' ab kisī se bhalā kyuuñ lagā.e dil
dil āshnā-e-dard hai dard āshnā-e-dil
tum jis ko dekh lo wo na pahlu mein pae dil
tum sa jo dil-ruba ho to kyun kar bachae dil
'majzub' ab kisi se na ya-rab lagae dil
pae to teri yaad se bas chain pae dil
us shoKH dilruba ki DhiTai to dekhiye
apne bana liye hain hazaron parae dil
itna na hoga koi bhi sabr-azma-e-dil
sab se lagae tum se na koi lagae dil
dam-bhar qarar lene nahin deta haye dil
kaisi ye paD gai hai mere sar bala-e-dil
'majzub' ab kisi se bhala kyun lagae dil
dil aashna-e-dard hai dard aashna-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.