tumhaare hi hone se aabaad hai dil
tumhāre hī hone se ābād hai dil
tumhī jab na hoge to vīrān hogā
tumhī se hai hasrat tumhī se hai armāñ
na hasrat hī hogī na armān hogā
merā dil fidā tum pe aur jaan qurbāñ
tumhī ho merī zindagānī kā sāmāñ
tumhāre hī jab kaam aa.ī na ye jaan
to phir jaan kā kyā merī jaan hogā
payāmī jo dekhā us se na kahnā
ye be-chainiyāñ us se na kahnā
pareshāniyāñ merī us se na kahnā
vo jis dam sunegā pareshān hogā
merī jaañ tumhāre hī qabze meñ hai dil
tumhārī hī marzī pe hai hālat-e-dil
jo taskīn doge to taskīn hogī
pareshāñ karoge to pareshān hogā
jo dil hai yahī dil kī hālat yahī hai
jo kuchh bhī hai rañg-e-tabī’at yahī hai
salāmat agar josh-e-vahshat yahī hai
to ghar hī kisī din bayābān hogā
nahīñ gar hifāzat kā sāmān koī
to ġhurbat meñ kyuuñ ho pareshān koī
nahīñ jis kā be-dam nigahbān koī
to allāh us kā nigahbān hogā
tumhaare hi hone se aabaad hai dil
tumhi jab na hoge to viran hoga
tumhi se hai hasrat tumhi se hai arman
na hasrat hi hogi na arman hoga
mera dil fida tum pe aur jaan qurban
tumhi ho meri zindagani ka saman
tumhaare hi jab kaam aai na ye jaan
to phir jaan ka kya meri jaan hoga
payami jo dekha us se na kahna
ye be-chainiyan us se na kahna
pareshaniyan meri us se na kahna
wo jis dam sunega pareshan hoga
meri jaan tumhaare hi qabze mein hai dil
tumhaari hi marzi pe hai haalat-e-dil
jo taskin doge to taskin hogi
pareshan karoge to pareshan hoga
jo dil hai yahi dil ki haalat yahi hai
jo kuchh bhi hai rang-e-tabi’at yahi hai
salamat agar josh-e-wahshat yahi hai
to ghar hi kisi din bayaban hoga
nahin gar hifazat ka saman koi
to ghurbat mein kyun ho pareshan koi
nahin jis ka be-dam nigahban koi
to allah us ka nigahban hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.