jamal-e-ibtida ban kar jalal-e-intiha hokar
jamāl-e-ibtidā ban kar jalāl-e-intihā hokar
bashar duniyā meñ aayā maz.har-e-shān-e-ḳhudā hokar
mirī darmāndagī par kyuuñ na duniyā rashk farmā.e
ki apne paañv toḌe maiñ ne manzil-āshnā hokar
mire zauq-e-fanā kā mā-hasal itnā to ho yā-rab
zamīñ kā chāñd ban jā.ūñ kisī kā naqsh-e-pā hokar
vajūd-e-jauhar-e-fitrī kahīñ miTtā hai duniyā se
rahī hai ḳhaak paare kī hamesha kīmiyā hokar
ijāzat do ki ham bhī do ghaḌī hairat-kashī kar leñ
tumhār ā.īnā-kHāna meñ tasvīr-e-vafā hokar
hayāt-afroz dil de kar mujhe jis ne navāzā thā
sitam to dekhiye aayā vahī merī qazā hokar
use apne maqām apnī jagah kā ilm kyuuñ kar ho
kahāñ vo aap meñ jo rah gayā hai aap kā hokar
farishte kyuuñ qadam apne baḌhāte jānib-e-duniyā
hameñ aanā thā ham aa.e mashiyyat kī adā hokar
ḳhudā rakhe salāmat tum ko rahnā hai abhī 'turfa'
kisī kā rāhbar ban kar kisī kā rahnumā hokar
jamal-e-ibtida ban kar jalal-e-intiha hokar
bashar duniya mein aaya mazhar-e-shan-e-KHuda hokar
meri darmandagi par kyun na duniya rashk farmae
ki apne panw toDe main ne manzil-ashna hokar
mere zauq-e-fana ka ma-hasal itna to ho ya-rab
zamin ka chand ban jaun kisi ka naqsh-e-pa hokar
wajud-e-jauhar-e-fitri kahin miTta hai duniya se
rahi hai KHak pare ki hamesha kimiya hokar
ijazat do ki hum bhi do ghaDi hairat-kashi kar len
tumhaar aaina-kHana mein taswir-e-wafa hokar
hayat-afroz dil de kar mujhe jis ne nawaza tha
sitam to dekhiye aaya wahi meri qaza hokar
use apne maqam apni jagah ka ilm kyun kar ho
kahan wo aap mein jo rah gaya hai aap ka hokar
farishte kyun qadam apne baDhate jaanib-e-duniya
hamein aana tha hum aae mashiyyat ki ada hokar
KHuda rakhe salamat tum ko rahna hai abhi 'turfa'
kisi ka rahbar ban kar kisi ka rahnuma hokar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.