chhalak jae jo meri be-KHudi-e-dil ka paimana
chhalak jaa.e jo merī be-ḳhudī-e-dil kā paimāna
abhī ho jaa.e mai-ḳhāne se bāhar rāz-e-mai-kHāna
fazā meñ haiñ anal-mahbūb anal-mahbūb ke na.are
na jaane kis kī sūrat dekh baiThā terā dīvāna
ḳhudā kī shaan vo bhī ik taraf but ban ke baiThā hai
hameñ jis ke liye Dhānī paḌī buniyād-e-but-kHāna
hazāroñ surḳhiyāñ āñkhoñ se Tapkātā hai ġham aakar
murattab jab kahīñ hotā hai ik rañgīn afsāna
bhaḌaktī hai kahīñ aap anjuman meñ sham.a ai nādāñ
use apne paroñ se ḳhud havā detā hai parvāna
uThā deñge mire naale harīm-e-husn ke parde
ye īqān-e-yadullāhī ba-īmān-e-kalīmāna
har ik aañsū meñ us ke jo har soz-e-mohabbat hai
ye kis ne sham.a kī āñkhoñ meñ bhar dī ḳhaak parvāna
ġhazal-goī hai naam azkār-e-husn-e-dost kā 'turfa'
takallum meñ latāfat ho taḳhātub ho adībāna
chhalak jae jo meri be-KHudi-e-dil ka paimana
abhi ho jae mai-KHane se bahar raaz-e-mai-kHana
faza mein hain anal-mahbub anal-mahbub ke nare
na jaane kis ki surat dekh baiTha tera diwana
KHuda ki shan wo bhi ek taraf but ban ke baiTha hai
hamein jis ke liye Dhani paDi buniyaad-e-but-kHana
hazaron surKHiyan aankhon se Tapkata hai gham aakar
murattab jab kahin hota hai ek rangin afsana
bhaDakti hai kahin aap anjuman mein shama ai nadan
use apne paron se KHud hawa deta hai parwana
uTha denge mere nale harim-e-husn ke parde
ye iqan-e-yadullahi ba-iman-e-kalimana
har ek aansu mein us ke jo har soz-e-mohabbat hai
ye kis ne shama ki aankhon mein bhar di KHak parwana
ghazal-goi hai nam azkar-e-husn-e-dost ka 'turfa'
takallum mein latafat ho taKHatub ho adibana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.