tu be-parda ho mahfil mein agar ai fitna-samane
tū be-parda ho mahfil meñ agar ai fitna-sāmāne
qiyāmat tak na aa.eñ hosh meñ phir tere dīvāne
tirī nazroñ ko kyā samjhe vo kyā jaane vo kyā maane
ki raushan jis ke jalve se hue hoñ ġham ke kāshāne
na.ī lazzat na.ī mastī Tapaktī hai nigāhoñ se
tirī āñkheñ haiñ yā saaqī mai-e-kausar ke paimāne
ye tafsīl-e-mohabbat hai ye ulfat kā ḳhulāsa hai
sulagtī hai udhar sham.eñ idhar jalte haiñ parvāne
mujhe bhī kar 'atā ik jaam sadqa un nigāhoñ kā
chhalak jaate haiñ jin nazroñ se mai-ḳhāne ke mai-ḳhāne
tire jalve kī rañgīnī koī pūchhe mire dil se
tū kis kā 'aks hai ai jaañ bhalā ye ġhair kyā jaane
hai dars apnā yahī 'manzūr' ye ta.alīm hai apnī
ḳhudā go.e ḳhudā biine ḳhudā daane ḳhudā shāne
tu be-parda ho mahfil mein agar ai fitna-samane
qiyamat tak na aaen hosh mein phir tere diwane
teri nazron ko kya samjhe wo kya jaane wo kya mane
ki raushan jis ke jalwe se hue hon gham ke kashane
nai lazzat nai masti Tapakti hai nigahon se
teri aankhen hain ya saqi mai-e-kausar ke paimane
ye tafsil-e-mohabbat hai ye ulfat ka KHulasa hai
sulagti hai udhar shamen idhar jalte hain parwane
mujhe bhi kar 'ata ek jam sadqa un nigahon ka
chhalak jate hain jin nazron se mai-KHane ke mai-KHane
tere jalwe ki rangini koi puchhe mere dil se
tu kis ka 'aks hai ai jaan bhala ye ghair kya jaane
hai dars apna yahi 'manzur' ye talim hai apni
KHuda goe KHuda bine KHuda dane KHuda shane
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 102)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.