udhar ko dekha tumhin ko dekha idhar ko dekha tumhin ko dekha
udhar ko dekha tumhin ko dekha idhar ko dekha tumhin ko dekha
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
udhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā idhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
ye shakl āñkhoñ meñ bas ga.ī hai jidhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
haram bhī hai ik makāñ tumhārā tumhīñ se ābād dair bhī hai
yahāñ bhī tum ho vahāñ bhī tum ho jidhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
agarche shakleñ to aur bhī haiñ sabhoñ meñ haiñ shān-e-dil-rubā.ī
tumhārī tasvīr hai to ye hai bashar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
malak ne dekhā jo mustafā ko to aadmī kī khulī haqīqat
sabhoñ ne kī arz apne rab se bashar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
tumhāre aariz kā hai ye partav tumhāre ruḳh kā hai is meñ jalva
falak par ai rashk-e-māh jis ne qamar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
tumhāre hoñToñ kā rañg us meñ tumhāre dāñtoñ kī aab us meñ
jo la.al dekhā tumhīñ ko dekhā guhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
tumhāre tīroñ ke zaḳhm un meñ tumhārī sūrat dikhā rahe haiñ
jo dil ko dekhā tumhīñ ko dekhā jigar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
ġhulāmī-e-shāh-e-dīñ ne 'akbar' banā diyā āftāb tum ko
tumhāre hī dam kī raushnī hai jidhar ko dekhā tumhīñ ko dekhā
udhar ko dekha tumhin ko dekha idhar ko dekha tumhin ko dekha
ye shakl aankhon mein bas gai hai jidhar ko dekha tumhin ko dekha
haram bhi hai ek makan tumhaara tumhin se aabaad dair bhi hai
yahan bhi tum ho wahan bhi tum ho jidhar ko dekha tumhin ko dekha
agarche shaklen to aur bhi hain sabhon mein hain shan-e-dil-rubai
tumhaari taswir hai to ye hai bashar ko dekha tumhin ko dekha
malak ne dekha jo mustafa ko to aadmi ki khuli haqiqat
sabhon ne ki arz apne rab se bashar ko dekha tumhin ko dekha
tumhaare aariz ka hai ye partaw tumhaare ruKH ka hai is mein jalwa
falak par ai rashk-e-mah jis ne qamar ko dekha tumhin ko dekha
tumhaare honTon ka rang us mein tumhaare danton ki aab us mein
jo lal dekha tumhin ko dekha guhar ko dekha tumhin ko dekha
tumhaare tiron ke zaKHm un mein tumhaari surat dikha rahe hain
jo dil ko dekha tumhin ko dekha jigar ko dekha tumhin ko dekha
ghulami-e-shah-e-din ne 'akbar' bana diya aaftab tum ko
tumhaare hi dam ki raushni hai jidhar ko dekha tumhin ko dekha
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 18)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.