ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
ulfat meñ barābar hai vafā ho ki jafā ho
har baat meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
ham tum hoñ shab-e-vasl akele to mazā ho
ham se ho adab duur hayā tum se judā ho
aa.e jo mirī laash pe vo tanz se bole
ab maiñ huuñ ḳhafā tum se ki tum mujh se ḳhafā ho
jo un se adā hotī hai kahtā hai mirā dil
is parde meñ allāh kare merī qazā ho
mehmān-e-chaman aaj hai merā gul-e-nāzuk
kah do ki dabe paañv ravāñ bād-e-sabā ho
ghabrā ke vo bole jo sunā shor-e-qiyāmat
dekho mere āshiq kā janāza na uThā ho
aa.e jo dam-e-naz.a kahā hañs ke sidhāro
pariyoñ ko to chāhā bahut ab hūroñ ko chāho
kyā shauq thā marqad se qiyāmat meñ pahuñchnā
kahtā huā ab va'da-e-dīdār-e-vafā ho
jhuñjhlā ke sazā deñ vo mujhe haath se apne
aisī koī ai dil jo ḳhatā ho to mazā ho
har rañg meñ hai yaar nayā rañg tumhārā
be-parda jo shoḳhī ho to dar-parda hayā ho
vahshat ko mirī saath mere dafn na karnā
ghar ḳhāna-ḳharābī kā mere ghar se judā ho
tū sūrat-e-dariyā hai habāb ahl-e-jahāñ haiñ
terā hai tirī raah meñ sar jis kā fidā ho
hañs hañs ke chhurī pher gale par mere qātil
āḳhir kī taḌap hai ye kuchh is meñ to mazā ho
nairañgī-e-husn un kī ye kahtī hai shab-e-vasl
chitvan meñ sharārat ho to āñkhoñ meñ hayā ho
rahm us dil-e-pur-dāġh par ai ulfat-e-mizhgāñ
kāñToñ meñ na khīñch us ko jo phūloñ meñ tulā ho
is vahm se guñdhvāne meñ choTī kī vo jhijhke
mashshāta kā bahrūp na āshiq ne bharā ho
uTh jaate haiñ mahfil se jo ho jaatī hai gul sham.a
Darte haiñ ki mujh se na milī bād-e-sabā ho
kyā rabt hai siine se khiñche tiir to paikāñ
nāvik se judā ho mere dil se na judā ho
laayā mah-e-nau badr kā ā.īna baġhal meñ
itnā bhī na apnā koī mushtāq-e-laqā ho
kyā haath meñ darkār 'amīr' un ko hai mehñdī
chhū leñ gul-e-āriz to vahī rañg-e-hinā ho
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
hum tum hon shab-e-wasl akele to maza ho
hum se ho adab dur haya tum se juda ho
aae jo meri lash pe wo tanz se bole
ab main hun KHafa tum se ki tum mujh se KHafa ho
jo un se ada hoti hai kahta hai mera dil
is parde mein allah kare meri qaza ho
mehman-e-chaman aaj hai mera gul-e-nazuk
kah do ki dabe panw rawan baad-e-saba ho
ghabra ke wo bole jo suna shor-e-qiyamat
dekho mere aashiq ka janaza na uTha ho
aae jo dam-e-naza kaha hans ke sidhaaro
pariyon ko to chaha bahut ab huron ko chaho
kya shauq tha marqad se qiyamat mein pahunchna
kahta hua ab wa'da-e-didar-e-wafa ho
jhunjhla ke saza den wo mujhe hath se apne
aisi koi ai dil jo KHata ho to maza ho
har rang mein hai yar naya rang tumhaara
be-parda jo shoKHi ho to dar-parda haya ho
wahshat ko meri sath mere dafn na karna
ghar KHana-KHarabi ka mere ghar se juda ho
tu surat-e-dariya hai habab ahl-e-jahan hain
tera hai teri rah mein sar jis ka fida ho
hans hans ke chhuri pher gale par mere qatil
aaKHir ki taDap hai ye kuchh is mein to maza ho
nairangi-e-husn un ki ye kahti hai shab-e-wasl
chitwan mein shararat ho to aankhon mein haya ho
rahm us dil-e-pur-dagh par ai ulfat-e-mizhgan
kanTon mein na khinch us ko jo phulon mein tula ho
is wahm se gundhwane mein choTi ki wo jhijhke
mashshata ka bahrup na aashiq ne bhara ho
uTh jate hain mahfil se jo ho jati hai gul shama
Darte hain ki mujh se na mili baad-e-saba ho
kya rabt hai sine se khinche tir to paikan
nawik se juda ho mere dil se na juda ho
laya mah-e-nau badr ka aaina baghal mein
itna bhi na apna koi mushtaq-e-laqa ho
kya hath mein darkar 'amir' un ko hai mehndi
chhu len gul-e-ariz to wahi rang-e-hina ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.