un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
un ke andāz-e-karam un pe vo aanā dil kā
haaye vo vaqt vo bāteñ vo zamāna dil kā
na sunā us ne tavajjoh se fasānā dil kā
zindagī guzrī magar dard na jaanā dil kā
kuchh na.ī baat nahīñ husn pe aanā dil kā
mashġhala hai ye nihāyat hī purānā dil kā
vo mohabbat kī shurūāt vo be-thāh ḳhushī
dekh kar un ko vo phūle na samānā dil kā
dil lagī dil kī lagī ban ke miTā detī hai
rog dushman ko bhī yārab na lagānā dil kā
ek to mere muqaddar ko bigāḌā us ne
aur phir us pe ġhazab hans ke banānā dil kā
mere pahlū meñ nahīñ aap kī muTThī meñ nahīñ
be-Thikāne hai bahut din se Thikānā dil kā
vo bhī apne na hue dil bhī gayā hāthoñ se
aise aane se to behtar thā na aanā dil kā
ḳhuub haiñ aap bahut kHuub magar yaad rahe
zeb detā nahīñ aisoñ ko satāna dil kā
be-jhijak aa ke milo hans ke milāo āñkheñ
aao ham tum ko sikhāte haiñ milānā dil kā
naqsh-e-bar aab nahīñ vahm nahīñ ḳhvāb nahīñ
aap kyuuñ khel samajhte haiñ miTānā dil kā
hasrateñ ḳhaak huiiñ miT ga.e armāñ saare
luT gayā khūcha-e-jānāñ meñ ḳhazānā dil kā
le chalā hai mire pahlū se ba-sad shauq koī
ab to mumkin nahīñ lauT ke aanā dil kā
un kī mahfil meñ 'nasīr' un ke tabassum kī qasam
dekhte rah ga.e ham haath se jaanā dil kā
un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
haye wo waqt wo baaten wo zamana dil ka
na suna us ne tawajjoh se fasana dil ka
zindagi guzri magar dard na jaana dil ka
kuchh nai baat nahin husn pe aana dil ka
mashghala hai ye nihayat hi purana dil ka
wo mohabbat ki shuruat wo be-thah KHushi
dekh kar un ko wo phule na samana dil ka
dil lagi dil ki lagi ban ke miTa deti hai
rog dushman ko bhi yarab na lagana dil ka
ek to mere muqaddar ko bigaDa us ne
aur phir us pe ghazab hans ke banana dil ka
mere pahlu mein nahin aap ki muTThi mein nahin
be-Thikane hai bahut din se Thikana dil ka
wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se
aise aane se to behtar tha na aana dil ka
KHub hain aap bahut kHub magar yaad rahe
zeb deta nahin aison ko satana dil ka
be-jhijak aa ke milo hans ke milao aankhen
aao hum tum ko sikhate hain milana dil ka
naqsh-e-bar aab nahin wahm nahin KHwab nahin
aap kyun khel samajhte hain miTana dil ka
hasraten KHak huin miT gae arman sare
luT gaya khucha-e-jaanan mein KHazana dil ka
le chala hai mere pahlu se ba-sad shauq koi
ab to mumkin nahin lauT ke aana dil ka
un ki mahfil mein 'nasir' un ke tabassum ki qasam
dekhte rah gae hum hath se jaana dil ka
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 701)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.