un ke naKHun par fida jaan kijiye
un ke nāḳhun par fidā jaañ kījiye
aur māh-e-'īd qurbāñ kījiye
jaan kyā hai aur māh-e-'īd kyā
yaañ fidā mulk-e-sulemāñ kījiye
un ke nāḳhun kā tarāshā gar mile
jeb-e-jāñ meñ us ko pinhāñ kījiye
aur roz-e-hashr ho jab āshakār
pesh us ko pesh-e-yazdāñ kījiye
sahn-e-mahshar 'īd-gāh-e-maġhfirat
az barā-e-ahl-e-'isyāñ kījiye
sāhib-e-laulāk kī ummat haiñ ham
aaj ham par bazl-e-ġhufrāñ kījiye
tujh ko likhnā hai sarapā-e-nabī
kāfī-e-maddāh sāmāñ kījiye
un ke naKHun par fida jaan kijiye
aur mah-e-'id qurban kijiye
jaan kya hai aur mah-e-'id kya
yan fida mulk-e-suleman kijiye
un ke naKHun ka tarasha gar mile
jeb-e-jaan mein us ko pinhan kijiye
aur roz-e-hashr ho jab aashakar
pesh us ko pesh-e-yazdan kijiye
sahn-e-mahshar 'id-gah-e-maghfirat
az bara-e-ahl-e-'isyan kijiye
sahib-e-laulak ki ummat hain hum
aaj hum par bazl-e-ghufran kijiye
tujh ko likhna hai sarapa-e-nabi
kafi-e-maddah saman kijiye
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.