un ko tu ne kya se kya shauq-e-farawan kar diya
un ko tu ne kya se kya shauq-e-farawan kar diya
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
un ko tū ne kyā se kyā shauq-e-farāvāñ kar diyā
pahle jaañ phir jān-e-jāñ phir jān-e-jānāñ kar diyā
taba’-e-rañgīñ ne mirī gul ko gulistāñ kar diyā
kuchh se kuchh husn-e-nazar ne husn-e-ḳhūbāñ kar diyā
fikr-e-īñ-o-āñ ne jab mujh ko pareshāñ kar diyā
maiñ ne sar nazr-e-junūn-e-fitna-sāmāñ kar diyā
dard-e-dil ne aur sab dardoñ kā darmāñ kar diyā
'ishq kī mushkil ne har mushkil ko āsāñ kar diyā
dil qafas meñ lag chalā thā phir pareshāñ kar diyā
ham-safīro tum ne kyuuñ zikr-e-gulistāñ kar diyā
har che baada bād-e-mā kashtī dar-āb andākHtem
kar ke jur.at un se aaj iz.hār-e-armāñ kar diyā
zulf-o-ruḳh ko Dhāñkiye ye bhī koī andāz hai
is ko hairāñ kar diyā us ko pareshāñ kar diyā
phūñk dī ik rūh-e-nau mujh meñ mirī har aah ne
dard-e-dil ne merī rag-rag ko rag-e-jāñ kar diyā
mere chāra-gar kā to dekhiye koī husn-e-'ilāj
mahv-e-dil se imtiyāz-e-dard-o-darmāñ kar diyā
talḳh kar dī zindagī shorish tirī kuchh had bhī hai
uf mire har zaḳhm ko tū ne namak-dāñ kar diyā
ye tirī zulfeñ ye āñkheñ ye tirā mukhḌā ye rañg
huur ko allāh kī qudrat ne insāñ kar diyā
jin kī ustādī pe ḳhud hikmat bajā kartī thī naaz
ek ummī ne unheñ tifl-e-dabistāñ kar diyā
chupke-chupke andar-andar tū ne ai shauq-e-nihāñ
dil ko mere rāz-dār-e-husn-e-pinhāñ kar diyā
TuuT jaate kyuuñ na Tāñke zaḳhm ke dekhā ġhazab
shāmil-e-baḳhiya mirā tār-e-garebāñ kar diyā
mujh ko sūjhā bhī to kyā 'majzūb' vahshat kā 'ilāj
maiñ ne dil vabasta-e-zulf-e-pareshāñ kar diyā
un ko tu ne kya se kya shauq-e-farawan kar diya
pahle jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-jaanan kar diya
taba’-e-rangin ne meri gul ko gulistan kar diya
kuchh se kuchh husn-e-nazar ne husn-e-KHuban kar diya
fikr-e-in-o-an ne jab mujh ko pareshan kar diya
main ne sar nazr-e-junun-e-fitna-saman kar diya
dard-e-dil ne aur sab dardon ka darman kar diya
'ishq ki mushkil ne har mushkil ko aasan kar diya
dil qafas mein lag chala tha phir pareshan kar diya
ham-safiro tum ne kyun zikr-e-gulistan kar diya
har che baada baad-e-ma kashti dar-ab andakHtem
kar ke jurat un se aaj izhaar-e-arman kar diya
zulf-o-ruKH ko Dhankiye ye bhi koi andaz hai
is ko hairan kar diya us ko pareshan kar diya
phunk di ek ruh-e-nau mujh mein meri har aah ne
dard-e-dil ne meri rag-rag ko rag-e-jaan kar diya
mere chaara-gar ka to dekhiye koi husn-e-'ilaj
mahw-e-dil se imtiyaz-e-dard-o-darman kar diya
talKH kar di zindagi shorish teri kuchh had bhi hai
uf mere har zaKHm ko tu ne namak-dan kar diya
ye teri zulfen ye aankhen ye tera mukhDa ye rang
hur ko allah ki qudrat ne insan kar diya
jin ki ustadi pe KHud hikmat baja karti thi naz
ek ummi ne unhen tifl-e-dabistan kar diya
chupke-chupke andar-andar tu ne ai shauq-e-nihan
dil ko mere raaz-dar-e-husn-e-pinhan kar diya
TuT jate kyun na Tanke zaKHm ke dekha ghazab
shamil-e-baKHiya mera tar-e-gareban kar diya
mujh ko sujha bhi to kya 'majzub' wahshat ka 'ilaj
main ne dil wabasta-e-zulf-e-pareshan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.