unka ho kar KHud unhen apna bana sakta hun main
unkā ho kar ḳhud unheñ apnā banā sakta huuñ maiñ
kho diyā sab kuchh to phir sab kuchh hī pā sakta huuñ maiñ
apne dushman ko bhī siine se lagā sakta huuñ maiñ
aap kī ḳhātir ye zahmat bhī uThā sakta huuñ maiñ
hote hote ho ga.ī hāsil mujhe fahm-e-sitam
aap ke har jaur par ab muskurā sakta huuñ maiñ
pī bhī luuñ aañsū to āḳhir rañg-e-ruḳh ko kyā karūñ
soz-e-ġham ko kyā kisī unvāñ chhupā sakta huuñ maiñ
rāzdārī merā sheva pardā-dārī merā kaam
raaz kī bāteñ kisī ko kyā batā sakta huuñ maiñ
ishq par takiya to hai ḳhud-e'timādī kī dalīl
husn-e-sarkash ko bhī kyā apnā banā sakta huuñ maiñ
tujh se itnī baḌh ga.ī hai nisbat-e-vāriftagī
jis ko chāhūñ terā dīvāna banā sakta huuñ maiñ
be-irāda kuchh Tapak paḌte haiñ aañsū bhī vahāñ
zindagī kī jis ravish par muskurā sakta huuñ maiñ
ḳhāna-e-dil meñ utar aatī hai jis kī har nazar
us se apne dil ke goshe kyā chhupā sakta huuñ maiñ
jis do-rāhe par bhī mujh ko chhoḌ de zauq-e-talab
unkā dāman thaam kar manzil ko pā sakta huuñ maiñ
ātish-e-ġham kis ke bas kī hai jo mere bas kī ho
aur bhaḌkā luuñ agar us ko bujhā sakta huuñ maiñ
ye ġhurūr-e-bandagī hai un se nisbat ke tufail
ye salāmat hai to har baazī lagā sakta huuñ maiñ
tum mire rone pe hañste ho ḳhudā hañstā rakhe
ye bhī kyā kam hai ki ro kar to hañsā sakta huuñ maiñ
soz-e-dil ḳhud mustaqil daulat hai 'kāmil' ishq kī
apne ham-chashmoñ se āñkheñ to milā sakta huuñ maiñ
unka ho kar KHud unhen apna bana sakta hun main
kho diya sab kuchh to phir sab kuchh hi pa sakta hun main
apne dushman ko bhi sine se laga sakta hun main
aap ki KHatir ye zahmat bhi uTha sakta hun main
hote hote ho gai hasil mujhe fahm-e-sitam
aap ke har jaur par ab muskura sakta hun main
pi bhi lun aansu to aaKHir rang-e-ruKH ko kya karun
soz-e-gham ko kya kisi unwan chhupa sakta hun main
raazdari mera shewa parda-dari mera kaam
raaz ki baaten kisi ko kya bata sakta hun main
ishq par takiya to hai KHud-e'timadi ki dalil
husn-e-sarkash ko bhi kya apna bana sakta hun main
tujh se itni baDh gai hai nisbat-e-wariftagi
jis ko chahun tera diwana bana sakta hun main
be-irada kuchh Tapak paDte hain aansu bhi wahan
zindagi ki jis rawish par muskura sakta hun main
KHana-e-dil mein utar aati hai jis ki har nazar
us se apne dil ke goshe kya chhupa sakta hun main
jis do-rahe par bhi mujh ko chhoD de zauq-e-talab
unka daman tham kar manzil ko pa sakta hun main
aatish-e-gham kis ke bas ki hai jo mere bas ki ho
aur bhaDka lun agar us ko bujha sakta hun main
ye ghurur-e-bandagi hai un se nisbat ke tufail
ye salamat hai to har bazi laga sakta hun main
tum mere rone pe hanste ho KHuda hansta rakhe
ye bhi kya kam hai ki ro kar to hansa sakta hun main
soz-e-dil KHud mustaqil daulat hai 'kaamil' ishq ki
apne ham-chashmon se aankhen to mila sakta hun main
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 273)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.