ḳhaas usī ke haiñ 'aam usī ke haiñ
jitne haiñ sab ġhulām usī ke haiñ
vo hī mai-ḳhāna hai vahī saaqī
mai-o-mīnā-o-jām usī ke haiñ
roz-o-shab zulf-o-ruḳh ke partav se
jalve ye sub.h-o-shām usī ke haiñ
hai vajūd-o-'adam meñ yak-rañgī
niist aur hasat kaam usī ke haiñ
kyā huā mai agar harām huī
sab halāl-o-harām usī ke haiñ
ai 'mubīn' tū bhī aur suḳhan bhī tirā
sach to ye hai kalām usī ke haiñ
KHas usi ke hain 'am usi ke hain
jitne hain sab ghulam usi ke hain
wo hi mai-KHana hai wahi saqi
mai-o-mina-o-jam usi ke hain
roz-o-shab zulf-o-ruKH ke partaw se
jalwe ye subh-o-sham usi ke hain
hai wajud-o-'adam mein yak-rangi
nist aur hasat kaam usi ke hain
kya hua mai agar haram hui
sab halal-o-haram usi ke hain
ai 'mubin' tu bhi aur suKHan bhi tera
sach to ye hai kalam usi ke hain
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 7)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.