ye mere hadd-e-nazar ki didani tasir hai
Interesting Fact
مشہور قوال کلن خاں کا پڑھا ہوا کلام۔۔۔
ye mire hadd-e-nazar kī dīdanī tāsīr hai
jis taraf ko dekhtā huuñ terī hī tasvīr hai
is liye maiñ ne parastish kī butoñ kī 'umr-bhar
jis ko dekhā bas ye samjhā terī hī tasvīr hai
be-muravvat be-ruḳhī se shīsha-e-dil ko na toḌ
ye vahī ā.īna hai jis meñ tirī tasvīr hai
maiñ ne maanā ye ki sah saktā nahīñ tāb-e-jamāl
ruḳh se parde ko haTā aage mirī taqdīr hai
ye mere hadd-e-nazar ki didani tasir hai
jis taraf ko dekhta hun teri hi taswir hai
is liye main ne parastish ki buton ki 'umr-bhar
jis ko dekha bas ye samjha teri hi taswir hai
be-murawwat be-ruKHi se shisha-e-dil ko na toD
ye wahi aaina hai jis mein teri taswir hai
main ne mana ye ki sah sakta nahin tab-e-jamal
ruKH se parde ko haTa aage meri taqdir hai
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 338)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.