teri justuju mein bahut KHak chhani jo dekha to apne dil-o-jaan mein tu hai
tirī justujū meñ bahut ḳhaak chhānī jo dekhā to apne dil-o-jāñ meñ tū hai
nahīñ hai agar to kahīñ bhī nahīñ hai agar hai to paidā-o-pinhāñ meñ tū hai
binā rañg-o-bū tū gul-e-yāsman meñ basā tū hai nasrīn aur nastaran meñ
shajar meñ bhī tū hai samar meñ bhī tū chaman meñ bhī tū hai ḳhayābāñ meñ tū hai
kahīñ naar hai aur kahīñ nuur hai tū kahīñ hai parī aur kahīñ huur hai tū
kahīñ tū banā hai sanam but-kada meñ kahīñ jalva-gar shakl-e-insāñ meñ tū hai
nahīñ farq karte kisī shai meñ aslan ki hai mahv tere tasavvur meñ shaidā
gul-o-ḳhār meñ ek apnī nazar meñ gulistāñ meñ tū hai bayābāñ meñ tū hai
huā jī se parvāna tujh pe tasadduq kiyā dil se bulbul ne tujh se ta'ashshuq
nahīñ koī tere sivā sham’-o-gul meñ aur meñ aur to meñ tū hai
kahīñ soz hai aur kahīñ saaz hai tū kahīñ niyāz hai aur kahīñ naaz hai to
kahīñ tū banā 'ishq āshiq ke dil meñ kahīñ husn ruḳhsār-e-jānāñ meñ tū hai
rahā ban ke saudā tū hī mere sar meñ banā hai tū hī soz dil aur jigar meñ
rag-o-pai meñ terī mohabbat hai saarī mirī jism meñ tū hai aur jaañ meñ tū hai
tirī shaan har qatra se hai huvaidā terā nuur hai zarra-zarra se paidā
jo gauhar hai tū abr-e-naisāñ meñ to hai ziyā hai tū mehr-e-daraḳhshāñ meñ tū hai
kisī ke tasavvur meñ kyā gum huā hai ki mafqūd duniyā se terā pata hai
na chaltā hai terā nishāñ shahr meñ kuchh na majbūr koh-o-bayābāñ meñ tū hai
teri justuju mein bahut KHak chhani jo dekha to apne dil-o-jaan mein tu hai
nahin hai agar to kahin bhi nahin hai agar hai to paida-o-pinhan mein tu hai
bina rang-o-bu tu gul-e-yasman mein basa tu hai nasrin aur nastaran mein
shajar mein bhi tu hai samar mein bhi tu chaman mein bhi tu hai KHayaban mein tu hai
kahin nar hai aur kahin nur hai tu kahin hai pari aur kahin hur hai tu
kahin tu bana hai sanam but-kada mein kahin jalwa-gar shakl-e-insan mein tu hai
nahin farq karte kisi shai mein aslan ki hai mahw tere tasawwur mein shaida
gul-o-KHar mein ek apni nazar mein gulistan mein tu hai bayaban mein tu hai
hua ji se parwana tujh pe tasadduq kiya dil se bulbul ne tujh se ta'ashshuq
nahin koi tere siwa sham’-o-gul mein aur mein aur to mein tu hai
kahin soz hai aur kahin saz hai tu kahin niyaz hai aur kahin naz hai to
kahin tu bana 'ishq aashiq ke dil mein kahin husn ruKHsar-e-jaanan mein tu hai
raha ban ke sauda tu hi mere sar mein bana hai tu hi soz dil aur jigar mein
rag-o-pai mein teri mohabbat hai sari meri jism mein tu hai aur jaan mein tu hai
teri shan har qatra se hai huwaida tera nur hai zarra-zarra se paida
jo gauhar hai tu abr-e-naisan mein to hai ziya hai tu mehr-e-daraKHshan mein tu hai
kisi ke tasawwur mein kya gum hua hai ki mafqud duniya se tera pata hai
na chalta hai tera nishan shahr mein kuchh na majbur koh-o-bayaban mein tu hai
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.