Font by Mehr Nastaliq Web

is parde mein poshida koi mah-jabin hai

Unknown

is parde mein poshida koi mah-jabin hai

Unknown

MORE BYUnknown

    Interesting Fact

    محمد علی بخش واعظ قوال نے حضرت رازؔ کی غزل میں دوسرے شعرا کی تظمین و اشعار ملا کر پڑھا ہے۔

    āvāz kisī hai ye barbat nahīñ hai

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    ḳhushk tār-o-ḳhushk chob-o-ḳhushk post

    az kujā mī-āyad iiñ āvāz-e-dost

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    sūkhī lakḌī sūkhā taar aur sūkhā post

    ye kahāñ se aatī hai āvāz-e-dost

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    sāne'-e-sāz ast andar radd-e-post

    ziiñ sabab mī-āyad iiñ āvāz-e-dost

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    kas īñ-ki yazdāñ parastī kunand

    bar āvāz-e-dolāb mastī kunand

    va iiñ goyand is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    shor-e-mansūr az kujā daar mansūr az kujā

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    qum-bi-iznī aur anal-haq kyā kahe un majāl

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    garche qur.ān az lab-e-paiġhambar ast

    har ki goyad haq na guft uu kāfir ast

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    haiñ ḳhudā ne bāteñ goyā hamāre muñh se

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    sūfiyoñ ko vajd meñ laatā hai naġhma-sāz

    hai yaqīñ is parde se un ko tirī āvāz

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    jāntā pahchāntā huuñ parda-dārī-e-sāz

    hai shanāsā.ī azal se mujh ko is āvāz

    is parde meñ poshīda koī māh-jabīñ hai

    sunte the ki is yaar ghar 'arsh-e-barīñ hai

    dekhā jo vahāñ ke makāñ hai na makīñ hai

    shunīda ke buud mānind diida

    dekhā jo vahāñ ke makāñ hai na makīñ hai

    vahāñ na dard na dukh hai 'ilāj hai na davā

    vahāñ zarūrat-e-luqmāñ na hājat-e-buqrāt

    dekhā jo vahāñ ke makāñ hai na makīñ hai

    āñ-jā na durd-o-ne safā āñ-jā na dard-o-ne davā āñ-jā na ḳhauf-o-ne rajā

    dekhā jo vahāñ ke makāñ hai na makīñ hai

    ne āsmān-o-ne zamīñ ne 'arsh-o-ne rūh-ul-amīñ

    dekhā jo vahāñ ke makāñ hai na makīñ hai

    tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil

    vo charḳh-e-barīñ par hai na vo zer-e-zamīñ hai

    qaul-e-niyāz ba-shino yā'nī za-ḳhud barūñ sho

    chuuñ az ḳhudī bar aa.ī bāshī ḳhudā rasīda

    tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil

    ḳhudā se milne bande ko kahīñ jaanā na aanā hai

    ḳhudī ko apnī gam kar ke ḳhudā ko ḳhud meñ paanā hai

    tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil

    dā'-nafsaka-o-tā'lā

    tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil

    yak qadam bar nafas ḳhud na vaañ digar var kū-e-dost

    tum ḳhud se guzar jaao to tai ho ga.ī manzil

    bāzār tirā ham ne kiyā garm dukāñ par

    be-sūd hai saudā jo ḳharīdār nahīñ hai

    meñ agar gunah na karūñ to phir tujhe yā-ġhafūr pukāre kaun

    be-sūd hai saudā jo ḳharīdār nahīñ hai

    jab na ham muhtāj the tum bhī na the hājat-ravā

    ham se hai jūd-o-karam jab ham nahīñ to tum nahīñ

    be-sūd hai saudā jo ḳharīdār nahīñ hai

    pūchhī ḳhabar yaar jo dil se to kahā haañ

    tum to ho vo tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai

    ba-talāsh-e-yār taake rag-e-jān-o-dil-kHarāshī

    nazare ba-rū-e-ḳhud kun ki rasī manāl-e-kHud

    tum to ho vo tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai

    jab savāl vasl kartā huuñ ye miltā hai javāb

    tum to ho vo tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai

    tu ḳhud mahbūb ḳhud hastī digar az che mī-ḳhvāhī

    tu ḳhud gauhar ba-kaf daarī az dariyā che mī-ḳhvāhī

    tum to ho vo tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai

    mā-zāġh surma hai aur āñkheñ bhī khulī haiñ

    bāzār meñ baiThā hai magar gosha nashīñ hai

    pas-e-parda nazar meñ bas gayā nūr-e-nazar ban kar

    sar-e-bāzār be-parda use parda-nashīñ dekhā

    bāzār meñ baiThā hai magar gosha-nashīñ hai

    maiñ garm-e-safar lākhoñ baras se huuñ va-lekin

    uTThā na qadam raaz jahāñ thā so vahīñ hai

    al-āna-kamā-kāna

    is sair tarīq duniyā se judā hai baiThā huā

    vatan meñ bhī sālik safar meñ hai lekin

    uTThā na qadam raaz jahāñ thā so vahīñ hai

    aawaz kisi ki hai ye barbat ki nahin hai

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    KHushk tar-o-KHushk chob-o-KHushk post

    az kuja mi-ayad in aawaz-e-dost

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    sukhi lakDi sukha tar aur sukha post

    ye kahan se aati hai aawaz-e-dost

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    sane'-e-saz ast andar ta radd-e-post

    zin sabab mi-ayad in aawaz-e-dost

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    kas in-ki yazdan parasti kunand

    bar aawaz-e-dolab masti kunand

    wa in goyand is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    shor-e-mansur az kuja dar mansur az kuja

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    qum-bi-izni aur anal-haq kya kahe un ki majal

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    garche quran az lab-e-paighambar ast

    har ki goyad haq na guft u kafir ast

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    ki hain KHuda ne baaten goya hamare munh se

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    sufiyon ko wajd mein lata hai naghma-saz ka

    hai yaqin is parde se un ko teri aawaz ka

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    jaanta pahchanta hun parda-dari-e-saz ki

    hai shanasai azal se mujh ko is aawaz ki

    is parde mein poshida koi mah-jabin hai

    sunte the ki is yar ka ghar 'arsh-e-barin hai

    dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai

    shunida ke bud manind dida

    dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai

    wahan na dard na dukh hai 'ilaj hai na dawa

    wahan zarurat-e-luqman na hajat-e-buqraat

    dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai

    aan-ja na durd-o-ne safa aan-ja na dard-o-ne dawa aan-ja na KHauf-o-ne raja

    dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai

    ne aasman-o-ne zamin ne 'arsh-o-ne ruh-ul-amin

    dekha jo wahan ja ke makan hai na makin hai

    tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil

    wo charKH-e-barin par hai na wo zer-e-zamin hai

    qaul-e-niyaz ba-shino ya'ni za-KHud barun sho

    chun az KHudi bar aai bashi KHuda rasida

    tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil

    KHuda se milne bande ko kahin jaana na aana hai

    KHudi ko apni gam kar ke KHuda ko KHud mein pana hai

    tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil

    da'-nafsaka-o-ta'la

    tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil

    yak qadam bar nafas KHud na wan digar war ku-e-dost

    tum KHud se guzar jao to tai ho gai manzil

    bazar tera hum ne kiya garm dukan par

    be-sud hai sauda jo KHaridar nahin hai

    mein agar gunah na karun to phir tujhe ya-ghafur pukare kaun

    be-sud hai sauda jo KHaridar nahin hai

    jab na hum muhtaj the tum bhi na the hajat-rawa

    hum se hai jud-o-karam jab hum nahin to tum nahin

    be-sud hai sauda jo KHaridar nahin hai

    puchhi KHabar yar jo dil se to kaha han

    tum hi to ho wo tum ko KHabar kuchh bhi nahin hai

    ba-talash-e-yar take rag-e-jaan-o-dil-kHarashi

    nazare ba-ru-e-KHud kun ki rasi manal-e-kHud ra

    tum hi to ho wo tum ko KHabar kuchh bhi nahin hai

    jab sawal wasl karta hun ye milta hai jawab

    tum hi to ho wo tum ko KHabar kuchh bhi nahin hai

    tu KHud mahbub KHud hasti digar az ma che mi-KHwahi

    tu KHud gauhar ba-kaf dari tu az dariya che mi-KHwahi

    tum hi to ho wo tum ko KHabar kuchh bhi nahin hai

    ma-zagh ka surma hai aur aankhen bhi khuli hain

    bazar mein baiTha hai magar gosha nashin hai

    pas-e-parda nazar mein bas gaya nur-e-nazar ban kar

    sar-e-bazar be-parda use parda-nashin dekha

    bazar mein baiTha hai magar gosha-nashin hai

    main garm-e-safar lakhon baras se hun wa-lekin

    uTTha na qadam raaz jahan tha so wahin hai

    al-ana-kama-kana

    is sair ka tariq hi duniya se juda hai baiTha hua

    watan mein bhi salik safar mein hai lekin

    uTTha na qadam raaz jahan tha so wahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now