sharab-e-ulfat pila de saqi azab kaisa sawab kaisa
sharāb-e-ulfat pilā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
tū mast-e-ḳhvāja banā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
rahe ye mai-ḳhāna tirā qaa.im chale ye daur-e-sharāb daa.im
hameñ bhī ab to jagā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
sharāb aisī pilā de saaqī rahe ḳhabar aur na hosh baaqī
duī kā parda uThā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
pilā ke saaqī sharāb-e-vahdat khilā ke ham ko kabāb-e-ulfat
tu riñd-mashrab banā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
azal se bhūkā sharāb kā thā ḳhudā ḳhudā kar ke aaj paayā
subū ko muñh se lagā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
rahe salāmat sharāb ḳhāna ki mai-parastoñ kā hai Thikāna
jo tujh se māñge pilā de saaqī 'azāb kaisā kaisā savāb kaisā
yahī to dil meñ bharī hai hasrat yahī to hai 'aish' ko lagī raT
sharāb-e-ḳhvāja pilā de saaqī 'azāb kaisā savāb kaisā
sharab-e-ulfat pila de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
tu mast-e-KHwaja bana de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
rahe ye mai-KHana tera qaim chale ye daur-e-sharab daim
hamein bhi ab to jaga de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
sharab aisi pila de saqi rahe KHabar aur na hosh baqi
dui ka parda uTha de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
pila ke saqi sharab-e-wahdat khila ke hum ko kabab-e-ulfat
tu rind-mashrab bana de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
azal se bhuka sharab ka tha KHuda KHuda kar ke aaj paya
subu ko munh se laga de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
rahe salamat sharab KHana ki mai-paraston ka hai Thikana
jo tujh se mange pila de saqi 'azab kaisa kaisa sawab kaisa
yahi to dil mein bhari hai hasrat yahi to hai 'aish' ko lagi raT
sharab-e-KHwaja pila de saqi 'azab kaisa sawab kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.