taklif-e-hijr de gai rahat kabhi-kabhi
taklīf-e-hijr de ga.ī rāhat kabhī-kabhī
badlā hai yuuñ bhī rang-e-mohabbat kabhī-kabhī
dil ne terī jafā ko sahārā samajh liyā
guzrī hai yuuñ bhī ham pe musībat kabhī-kabhī
duniyā samajh na le tere ġham kī nazākateñ
karatā huuñ zer-e-lab jo shikāyat kabhī-kabhī
hai jis taraf nigāh tavajjoh udhar nahīñ
hotī hai be-ruḳhī bhī 'ināyat kabhī-kabhī
aa.ī shab firāq to ghabrā ga.e ‘shajī’
aatī hai zindagī meñ qayāmat kabhī-kabhī
taklif-e-hijr de gai rahat kabhi-kabhi
badla hai yun bhi rang-e-mohabbat kabhi-kabhi
dil ne teri jafa ko sahaara samajh liya
guzri hai yun bhi hum pe musibat kabhi-kabhi
duniya samajh na le tere gham ki nazakaten
karata hun zer-e-lab jo shikayat kabhi-kabhi
hai jis taraf nigah tawajjoh udhar nahin
hoti hai be-ruKHi bhi 'inayat kabhi-kabhi
aai shab firaq to ghabra gae ‘shaji’
aati hai zindagi mein qayamat kabhi-kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.