aa gaya yun mere honTon pe tera nam ki bas
aa gayā yuuñ mere hoñToñ pe terā naam ki bas
vo charāġhāñ kiyā āñkhoñ ne sar-e-shām ki bas
yaad kyā jaane vo kaun sī baat aa.ī hai
dil ne phir aaj uThāyā hai vo kohrām ki bas
ik damaktā huā taarā sar-e-mizhgāñ aayā
us ne āñkhoñ se diyā thā koī paiġhām ki bas
ham bhī sunte haiñ ki nāzāñ haiñ bahut husn pe chāñd
ik nazar dekh to le tujh ko lage baam ki bas
saañs lenā bhī 'safī' bā'is-e-āzār huā
vo lage dil pe tere hijr meñ ilzām ki bas
aa gaya yun mere honTon pe tera nam ki bas
wo charaghan kiya aankhon ne sar-e-sham ki bas
yaad kya jaane wo kaun si baat aai hai
dil ne phir aaj uThaya hai wo kohram ki bas
ek damakta hua tara sar-e-mizhgan aaya
us ne aankhon se diya tha koi paigham ki bas
hum bhi sunte hain ki nazan hain bahut husn pe chand
ek nazar dekh to le tujh ko lage baam ki bas
sans lena bhi 'safi' ba'is-e-azar hua
wo lage dil pe tere hijr mein ilzam ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.