KHushbu ka koi jhonka ho to sanson se zanjir karun
ḳhushbū kā koī jhoñkā ho to sāñsoñ se zanjīr karūñ
itne ḳhvāb haiñ āñkhoñ-āñkhoñ kis-kis kī tā'bīr karūñ
jis ke saay meñ baiThūñ to saare ġham begāne hoñ
pahle har dīvār girā.ūñ phir vo ghar ta'amīr karūñ
tum ne kuchh pūchhā thā mujh se aur maiñ ab tak sochtā huuñ
kitne zaḳhm chhupā kar rakkhūñ kitne ġham tahrīr karūñ
harf-o-bayāñ kī dukh nagrī aayā huuñ to chāhtā huuñ
pahle shu'ūr-e-‘ġhālib’ lā.ūñ phir tafhīm-e-‘mīr’ karūñ
KHushbu ka koi jhonka ho to sanson se zanjir karun
itne KHwab hain aankhon-ankhon kis-kis ki ta'bir karun
jis ke say mein baiThun to sare gham begane hon
pahle har diwar giraun phir wo ghar ta'amir karun
tum ne kuchh puchha tha mujh se aur main ab tak sochta hun
kitne zaKHm chhupa kar rakkhun kitne gham tahrir karun
harf-o-bayan ki dukh nagri aaya hun to chahta hun
pahle shu'ur-e-‘ghaalib’ laun phir tafhim-e-‘mir’ karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.