KHushbu shabnam rang sitare karte hain diwana-sa
ḳhushbū shabnam rañg sitāre karte haiñ dīvāna-sā
us par tere qurb kā mausam lagtā hai afsāna-sā
chāhne vaalī ek bhī sūrat āñkhoñ se ho duur phir
hañstā-vañsatā ghar bhī yaaro lagtā hai vīrāna sā
yuuñ to tere chehre kā mausam rañg hī rañg jagātā hai
lekin dil kī baat khile jab us pe terā sharmānā-sā
pal do pal kī duurī meñ bhī aksar mujh ko lagtā hai
us ke dekhe biit gayā ho jaise ek zamānā-sā
KHushbu shabnam rang sitare karte hain diwana-sa
us par tere qurb ka mausam lagta hai afsana-sa
chahne wali ek bhi surat aankhon se ho dur phir
hansta-wansata ghar bhi yaro lagta hai virana sa
yun to tere chehre ka mausam rang hi rang jagata hai
lekin dil ki baat khile jab us pe tera sharmana-sa
pal do pal ki duri mein bhi aksar mujh ko lagta hai
us ke dekhe bit gaya ho jaise ek zamana-sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.