Sufinama

koi ajnabi-sa dayar tha yahi waqt hoga pahal gae

Unknown

koi ajnabi-sa dayar tha yahi waqt hoga pahal gae

Unknown

MORE BYUnknown

    koī ajnabī-sā dayār thā yahī vaqt hogā pahal ga.e

    sar-e-rah-guzar vo nazar milī to fazā meñ phuul bikhar ga.e

    vo ruke to abr-e-ramā rukā vo chale to shāḳheñ lachak ga.iiñ

    maiñ hujūm-e-rañg meñ kho gayā vo nazar se jaam utar ga.e

    unheñ chāñdnī badan kahūñ ki sahar pahlī karan kahūñ

    vo jigar jigar thī nigāh meñ ki sitāre dil meñ utar ga.e

    tere rañg ruup dhuup se merī aarzū kamal khile

    mujhe zindagī lagan milī merī giit aur nikhar ga.e

    koi ajnabi-sa dayar tha yahi waqt hoga pahal gae

    sar-e-rah-guzar wo nazar mili to faza mein phul bikhar gae

    wo ruke to abr-e-rama ruka wo chale to shaKHen lachak gain

    main hujum-e-rang mein kho gaya wo nazar se jam utar gae

    unhen chandni ka badan kahun ki sahar ki pahli karan kahun

    wo jigar jigar thi nigah mein ki sitare dil mein utar gae

    tere rang rup ki dhup se meri aarzu ki kamal khile

    mujhe zindagi ki lagan mili meri git aur nikhar gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now