Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mujh mein ab rang sab tumhaara hai

Unknown

mujh mein ab rang sab tumhaara hai

Unknown

MORE BYUnknown

    mujh meñ ab rañg sab tumhārā hai

    itnā kah de ki hamārā hai

    tirī qudratoñ shumār kyā

    tirī vus.atoñ hisāb kyā

    tum se 'ālam meñ rañg-o-bū

    tirī shān-e-jalla-jalāluhu

    jo aa.e tumhārī bazm meñ dīvāna ho jaa.e

    ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāz-dārī hai

    yahāñ honā na honā hai na honā 'ain honā hai

    jise honā ho kuchh ḳhāk-e-dar-e-jānāna ho jaa.e

    ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāz-dārī hai

    vo mai de de jo pahle shiblī-o-mansūr ko thī

    ne dam bhī nisār-e-murshid-e-mai-ḳhāna ho jaa.e

    ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāz-dārī hai

    o maulā maulā mere maulā

    hameñ bhī jalva-gāheñ naaz par le kar chalo muusā

    tumheñ ġhash aa gayā husn-e-jāñ kyuuñ dekhegā

    chalī haiñ mirī aaheñ 'arsh paayā hilāne ko

    kahīñ braham nizām-e-'ālam-e-bālā na ho jaa.e

    ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāzdārī hai

    namī dānam ki ākHir chuuñ dam-e-dīdār raqsam

    manam bismil ki zer-e-ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār raqsam

    zahe taqvā ki muñh bā-jubba-o-dastār raqsam

    manam ai qatra-e-shabnam bā-nok-e-kHār raqsam

    mujh mein ab rang sab tumhaara hai

    itna kah de ki tu hamara hai

    teri qudraton ka shumar kya

    teri wusaton ka hisab kya

    tum hi se 'alam mein rang-o-bu

    teri shan-e-jalla-jalaluhu

    jo aae tumhaari bazm mein diwana ho jae

    ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raaz-dari hai

    yahan hona na hona hai na hona 'ain hona hai

    jise hona ho kuchh KHak-e-dar-e-jaanana ho jae

    ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raaz-dari hai

    wo mai de de jo pahle shibli-o-mansur ko di thi

    tu ne dam bhi nisar-e-murshid-e-mai-KHana ho jae

    ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raaz-dari hai

    o maula maula mere maula

    hamein bhi jalwa-gahen naz par le kar chalo musa

    tumhein ghash aa gaya husn-e-jaan kyun dekhega

    chali hain meri aahen 'arsh ka paya hilane ko

    kahin braham nizam-e-'alam-e-baala na ho jae

    ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raazdari hai

    nami danam ki aakHir chun dam-e-didar mi raqsam

    manam bismil ki zer-e-KHanjar-e-KHun-KHwar mi raqsam

    zahe taqwa ki munh ba-jubba-o-dastar mi raqsam

    manam ai qatra-e-shabnam ba-nok-e-kHar mi raqsam

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now