kya KHwab tha wo jis ki tabir nazar aai
kyā ḳhvāb thā vo jis kī tā'bīr nazar aa.ī
kuchh haath nazar aa.e zanjīr nazar aa.ī
is shoḳh ke lahje meñ tāsīr hī aisī thī
jo baat kahī us ne tāsīr nazar aa.ī
vo aisī haqīqat hai jis ne bhī use sochā
apne hī ḳhayāloñ kī tasvīr nazar aa.ī
tā-hadd-e-nazar mere aañsū bhī lahū bhī thā
tā-hadd-e-nazar terī jāgīr nazar aa.ī
shāyad vo 'safī' us kā e.ajāz-e-nazar hogā
paanī jo kahīñ dekhā shamshīr nazar aa.ī
kya KHwab tha wo jis ki ta'bir nazar aai
kuchh hath nazar aae zanjir nazar aai
is shoKH ke lahje mein tasir hi aisi thi
jo baat kahi us ne tasir nazar aai
wo aisi haqiqat hai jis ne bhi use socha
apne hi KHayalon ki taswir nazar aai
ta-hadd-e-nazar mere aansu bhi lahu bhi tha
ta-hadd-e-nazar teri jagir nazar aai
shayad wo 'safi' us ka eajaz-e-nazar hoga
pani jo kahin dekha shamshir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.