mere dil kī banjar zamīñ pe
tere pyaar kī bārish kā qatra yuuñ barse
ki pal meñ phuul khul jaa.e
yuuñ saare daaġh dhul jaa.e
agar tere 'ishq meñ merī āñkhoñ kā kuchh ashk mil jaa.e
to dil meñ phuul khil jaa.e
yuuñ saare daaġh dhul jaa.e
mere liye tū hai maulā
ki jaise raat meñ taarā
ki jaise phuul kā taarā
ki jaise ye jahāñ saarā
tū mujh ko jaan se pyārā
agar mere paas gire to tere hāthoñ se mil jaa.e
to dil meñ phuul khil jaa.e
yuuñ saare daaġh dhul jaa.e
ab itnā karam kar maulā
mujhe ḳhud se qarīb kar
ḳhud ko merā nazīr kar
maiñ kitnā bad-nasīb huuñ
tū chhū kar ḳhush-nasīb kar
agar mere haath khule saare zaḳhm tere hāthoñ se sil jaa.e
mere maulā
yuuñ saare daaġh dhul jaa.e
to dil meñ phuul khil jaa.e
mere dil ki banjar zamin pe
tere pyar ki barish ka qatra yun barse
ki pal mein phul khul jae
yun sare dagh dhul jae
agar tere 'ishq mein meri aankhon ka kuchh ashk mil jae
to dil mein phul khil jae
yun sare dagh dhul jae
mere liye tu hai maula
ki jaise raat mein tara
ki jaise phul ka tara
ki jaise ye jahan sara
tu mujh ko jaan se pyara
agar mere pas gire to tere hathon se mil jae
to dil mein phul khil jae
yun sare dagh dhul jae
ab itna karam kar maula
mujhe KHud se qarib kar
KHud ko mera nazir kar
main kitna bad-nasib hun
tu chhu kar KHush-nasib kar
agar mere hath khule sare zaKHm tere hathon se sil jae
mere maula
yun sare dagh dhul jae
to dil mein phul khil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.