kitna dil-soz wo manzar wo nazara hoga
kitnā dil-soz vo manzar vo nazāra hogā
jab masīhā ne marīzoñ ko pukārā hogā
tum ne jab zulf-e-pareshāñ ko sañvārā hogā
sadqa-e-husn ghaTāoñ ne utārā hogā
sañg-dil tere bhī aañsū nikal aa.e hoñge
Dūbne vaale ne jab tujh ko pukārā hogā
haath phailā.ūñ jo maiñ ġhair kī chaukhaT pe kabhī
mere sarkār ko ye kaise gavārā hogā
bas 'alī fātima hasnain mohammad ke sivā
ḳhuld meñ aur bhalā kis kā ijāra hogā
kitna dil-soz wo manzar wo nazara hoga
jab masiha ne marizon ko pukara hoga
tum ne jab zulf-e-pareshan ko sanwara hoga
sadqa-e-husn ghaTaon ne utara hoga
sang-dil tere bhi aansu nikal aae honge
Dubne wale ne jab tujh ko pukara hoga
hath phailaun jo main ghair ki chaukhaT pe kabhi
mere sarkar ko ye kaise gawara hoga
bas 'ali fatima hasnain mohammad ke siwa
KHuld mein aur bhala kis ka ijara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.