mujh mein har rang ab tumhaara hai
manzil milī murād milī mudda'ā milā
sab kuchh mujhe milā jo terā naqsh-e-pā milā
jab duur tak na koī faqīr āshnā milā
terā niyāz mañd tere dar se jā milā
mujh meñ har rañg ab tumhārā hai
ab to kah do ki tū hamārā hai
'ālam-e-shauq meñ na jaane kyuuñ
maiñ ne har-dam tumheñ pukārā hai
tū to sab hī ke paas hai maujūd
kaun kahtā hai tū hamārā hai
tere sadqe meñ ye tamām jahāñ
apnī Thokar pe maiñ ne maarā hai
raaz ko raaz kyuuñ samajhte ho
raaz duniyā kā āshkārā hai
manzil mili murad mili mudda'a mila
sab kuchh mujhe mila jo tera naqsh-e-pa mila
jab dur tak na koi faqir aashna mila
tera niyaz mand tere dar se ja mila
mujh mein har rang ab tumhaara hai
ab to kah do ki tu hamara hai
'alam-e-shauq mein na jaane kyun
main ne har-dam tumhein pukara hai
tu to sab hi ke pas hai maujud
kaun kahta hai tu hamara hai
tere sadqe mein ye tamam jahan
apni Thokar pe main ne mara hai
raaz ko raaz kyun samajhte ho
raaz duniya ka aashkara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.