talwar KHun mein rang lo arman rah na jae
talvār ḳhuuñ meñ rañg lo armān rah na jaa.e
bismil ke sar pe koī ehsān rah na jaa.e
vā'da kiyā thā ai dil aane kā aaj us ne
ārā.ishoñ kā koī sāmān rah na jaa.e
bhar-bhar ke jaam de ab ham mai-kashoñ ko saaqī
mahfil meñ koī pyāsā mehmān rah na jaa.e
lillāh is meñ aa kar tum apnā ghar banā lo
dil ḳhāna-e-ḳhudā hai vīrān rah na jaa.e
lillāh apne ghar se dushman ko tum nikālo
firdaus ke chaman meñ shaitān rah na jaa.e
ab qatl kar chuke to pāmāl-e-lāsh kar do
ye bhī tumhāre dil meñ armān rah na jaa.e
vo teġh le ke aa.e chal sar ke bal 'nizāmī'
ulfat kā ma.arka hai maidān rah na jaa.e
talwar KHun mein rang lo arman rah na jae
bismil ke sar pe koi ehsan rah na jae
wa'da kiya tha ai dil aane ka aaj us ne
aaraishon ka koi saman rah na jae
bhar-bhar ke jam de ab hum mai-kashon ko saqi
mahfil mein koi pyasa mehman rah na jae
lillah is mein aa kar tum apna ghar bana lo
dil KHana-e-KHuda hai viran rah na jae
lillah apne ghar se dushman ko tum nikalo
firdaus ke chaman mein shaitan rah na jae
ab qatl kar chuke to pamal-e-lash kar do
ye bhi tumhaare dil mein arman rah na jae
wo tegh le ke aae chal sar ke bal 'nizami'
ulfat ka marka hai maidan rah na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.